azal mein jo sada maine suni thi kaif-e-masti mein
azal mein jo sada maine suni thi kaif-e-masti mein
Khadim Hasan Ajmeri
MORE BYKhadim Hasan Ajmeri
Interesting Fact
محرک سید عبدالکریم گڈری شاہی۔
azal meñ jo sadā maiñ ne sunī thī kaif-e-mastī meñ
vahī āvāz ab tak sun rahā huuñ sāz-e-hastī meñ
nazar aatī hai mujh ko apnī hastī yaar kī hastī
fanā jab se huī hai merī hastī us kī hastī meñ
tere hone hī se to merī hastī ho ga.ī hastī
yaqīnan maiñ nahīñ huuñ tū hī tū hī merī hastī meñ
fanā jab merī hastī ho ga.ī ain-e-haqīqat meñ
to us yaktā ke jalve mil ga.e ḳhud merī hastī meñ
butoñ meñ dekhtā huuñ 'aks-e-husn shāhid-e-'ālam
ḳhudā ko pā liyā vallāh maiñ ne but-parastī meñ
mirā īmān ġhārat kar diyā jis but kī nazroñ ne
usī kāfir kā jalva dekhtā huuñ haq-parastī meñ
maiñ us tauhīd ke maidān meñ gum-karda kasrat huuñ
jahāñ kuchh farq hī baaqī nahīñ hai auj-o-pastī meñ
gadā-e-vālī-e-ajmer mujh ko log kahte haiñ
basāyā hai mujhe ḳhvāja ne jab se apnī bastī meñ
na kyuuñ raqsāñ hoñ 'ḳhādim' zarra-zarra merī hastī kā
shabīh-e-husn-e-sāqī dekhtā huuñ kaif-e-mastī meñ
azal mein jo sada main ne suni thi kaif-e-masti mein
wahi aawaz ab tak sun raha hun saz-e-hasti mein
nazar aati hai mujh ko apni hasti yar ki hasti
fana jab se hui hai meri hasti us ki hasti mein
tere hone hi se to meri hasti ho gai hasti
yaqinan main nahin hun tu hi tu hi meri hasti mein
fana jab meri hasti ho gai ain-e-haqiqat mein
to us yakta ke jalwe mil gae KHud meri hasti mein
buton mein dekhta hun 'aks-e-husn shahid-e-'alam
KHuda ko pa liya wallah main ne but-parasti mein
mera iman ghaarat kar diya jis but ki nazron ne
usi kafir ka jalwa dekhta hun haq-parasti mein
main us tauhid ke maidan mein gum-karda kasrat hun
jahan kuchh farq hi baqi nahin hai auj-o-pasti mein
gada-e-wali-e-ajmer mujh ko log kahte hain
basaya hai mujhe KHwaja ne jab se apni basti mein
na kyun raqsan hon 'KHadim' zarra-zarra meri hasti ka
shabih-e-husn-e-saqi dekhta hun kaif-e-masti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.