KHuda mahfuz rakhe ishq ke jazbaat-e-kaamil se
ḳhudā mahfūz rakhe 'ishq ke jazbāt-e-kāmil se
zamīñ gardūñ se Takrā.ī jahāñ dil mil gayā dil se
koī dekhe to madd-o-jazm dariyā-e-mohabbat kā
palaT jaatī hai phir kashtī merī Takrā ke sāhil se
sambhal ai gardish-e-daurāñ yahī manzūr hai un ko
dikhā duuñ uThne vaale is tarah uThte haiñ mahfil se
nahīñ jaatā tumhārī bazm se duniyā se jaatā huuñ
alag uTh kar zarā ik baat sun lo merī mahfil se
KHuda mahfuz rakhe 'ishq ke jazbaat-e-kaamil se
zamin gardun se Takrai jahan dil mil gaya dil se
koi dekhe to madd-o-jazm dariya-e-mohabbat ka
palaT jati hai phir kashti meri Takra ke sahil se
sambhal ai gardish-e-dauran yahi manzur hai un ko
dikha dun uThne wale is tarah uThte hain mahfil se
nahin jata tumhaari bazm se duniya se jata hun
alag uTh kar zara ek baat sun lo meri mahfil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.