khuli jab se aankhen to kya-kya na dekha
khulī jab se āñkheñ to kyā-kyā na dekhā
magar ek tujh sā na dekhā na dekhā
bahut ḳhūb-rū ham ne dekhe va-lekin
ye āñkheñ na dekhīñ ye ġhamza na dekhā
na dekhā tujhe dekh kar kar phir kisī ko
kisī ko in āñkhoñ ne aisā na dekhā
shahādat milī tere hāthoñ se jis ko
kabhī us ne sū-e-masīhā na dekhā
na dekhā tamāshā ḳhudā.ī kā kuchh bhī
jin āñkhoñ ne us but kā naqsha na dekhā
qadam dekh kar shaah ḳhādim ke ham ne
'azīz' aaj tak muñh kisī kā na dekhā
khuli jab se aankhen to kya-kya na dekha
magar ek tujh sa na dekha na dekha
bahut KHub-ru hum ne dekhe wa-lekin
ye aankhen na dekhin ye ghamza na dekha
na dekha tujhe dekh kar kar phir kisi ko
kisi ko in aankhon ne aisa na dekha
shahadat mili tere hathon se jis ko
kabhi us ne su-e-masiha na dekha
na dekha tamasha KHudai ka kuchh bhi
jin aankhon ne us but ka naqsha na dekha
qadam dekh kar shah KHadim ke hum ne
'aziz' aaj tak munh kisi ka na dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.