sab ko dil se bhula diya tumne
sab ko dil se bhulā diyā tum ne
shaah ḳhādim ye kyā kyā tum ne
vo jamāl-e-jamīl dikhlā kar
khol dī shān-e-kibriyā tum ne
lutf se shauq se mohabbat se
kin adāoñ se dil liyā tum ne
saf.ha-e-dil pe thā ḳhudā kā naam
likh diyā us pe hāshiya tum ne
khīñch kar mere dil ko apnī taraf
de diyā zauq-e-be-riyā tum ne
jis ko chāhā banā diyā fauran
mahram-e-sirr-e-auliyā tum ne
ḳhāk-e-dar ho ke maiñ 'azīz huā
kar diyā mujh ko kīmiyā tum ne
sab ko dil se bhula diya tum ne
shah KHadim ye kya kya tum ne
wo jamal-e-jamil dikhla kar
khol di shan-e-kibriya tum ne
lutf se shauq se mohabbat se
kin adaon se dil liya tum ne
safha-e-dil pe tha KHuda ka nam
likh diya us pe hashiya tum ne
khinch kar mere dil ko apni taraf
de diya zauq-e-be-riya tum ne
jis ko chaha bana diya fauran
mahram-e-sirr-e-auliya tum ne
KHak-e-dar ho ke main 'aziz hua
kar diya mujh ko kimiya tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.