zinda rahta hai zinde mein
zinda rahtā hai zinde meñ
allāh band huā bande meñ
lākhoñ parde ik parde meñ
allāh band huā bande meñ
saarā 'ālam hai nūrānī
jis kī sūrat hai yazdānī
us se haT kar sab nādānī
kalima ā.īna-e-rūhānī
ġhāfil sab kuchh hai kalime meñ
allāh band huā bande meñ
karnā hai to murshid karle
apnī sāñsoñ meñ dam bhar le
ġhaflat mat kar jaldī kar le
murshid batlā.e so kar le
saarā raaz chhupā bande meñ
allāh band huā bande meñ
saarā 'ālam hai tahrīrī
hai nukte kī herā-pherī
ġhaflat kyuuñ hai tujh ko gherī
duniyā terī hai na merī
maqsad hai be ke nukta meñ
allāh band huā bande meñ
mandir masjid ab kyā jaanā
aanā jaanā jaanā aanā
ye to khel huā bachkāna
mat dīvāna ban ai daanā
kyā DhūñDegā tū murde meñ
allāh band huā bande meñ
apnī zaat ko sajda kar le
aage chal kar parda kar le
hai tū qatra dariyā kar le
har tahrīr ko nukta kar le
'rizvāñ' diid huī sajde meñ
allāh band huā bande meñ
zinda rahta hai zinde mein
allah band hua bande mein
lakhon parde ek parde mein
allah band hua bande mein
sara 'alam hai nurani
jis ki surat hai yazdani
us se haT kar sab nadani
kalima aaina-e-ruhani
ghafil sab kuchh hai kalime mein
allah band hua bande mein
karna hai to murshid karle
apni sanson mein dam bhar le
ghaflat mat kar jaldi kar le
murshid batlae so kar le
sara raaz chhupa bande mein
allah band hua bande mein
sara 'alam hai tahriri
hai nukte ki hera-pheri
ghaflat kyun hai tujh ko gheri
duniya teri hai na meri
maqsad hai be ke nukta mein
allah band hua bande mein
mandir masjid ab kya jaana
aana jaana jaana aana
ye to khel hua bachkana
mat diwana ban ai dana
kya DhunDega tu murde mein
allah band hua bande mein
apni zat ko sajda kar le
aage chal kar parda kar le
hai tu qatra dariya kar le
har tahrir ko nukta kar le
'rizwan' did hui sajde mein
allah band hua bande mein
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.