apne pir-o-murshid ki ye karishma-sazi hai
apne pir-o-murshid ki ye karishma-sazi hai
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
apne pīr-o-murshid kī ye karishma-sāzī hai
jab se un ke ho baiThe kHuub sarfarāzī hai
ek din hī nisbat kyuuñ na rañg lā.egī
ham bhī us se raazī haiñ vo bhī ham se raazī hai
mā'rifat ke dañggal meñ chand haiñ jo Tikte haiñ
zarf apnā apnā hai apnī apnī baazī hai
’aql-o-hosh ke andhe ye subūt kyā jaane
nuur har bashar meñ hai har bashar namāzī hai
apne bāda-ḳhāne meñ har maraz shifā paa.e
justujū ke nusḳhe meñ har ḳhurāk taazī hai
shaan mard-e-momin kī ham se pūchhte kyā ho
mar gayā shahīdī hai jī rahā to ġhāzī hai
jo milā amannā hai na milā amannā hai
sar pe dekho 'rizvāñ' ke tāj-e-be-niyāzī hai
apne pir-o-murshid ki ye karishma-sazi hai
jab se un ke ho baiThe kHub sarfaraazi hai
ek din hi nisbat kyun na rang laegi
hum bhi us se raazi hain wo bhi hum se raazi hai
ma'rifat ke danggal mein chand hain jo Tikte hain
zarf apna apna hai apni apni bazi hai
’aql-o-hosh ke andhe ye subut kya jaane
nur har bashar mein hai har bashar namazi hai
apne baada-KHane mein har maraz shifa pae
justuju ke nusKHe mein har KHurak tazi hai
shan mard-e-momin ki hum se puchhte kya ho
mar gaya shahidi hai ji raha to ghazi hai
jo mila amanna hai na mila amanna hai
sar pe dekho 'rizwan' ke taj-e-be-niyazi hai
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.