KHud apne ko pana hi allah ko pana hai
ḳhud apne ko paanā hī allāh ko paanā hai
tauhīd kī ye daulat ghar baiThe kamānā hai
rūThe ko manā ne ko qismat ke banāne ko
rindoñ ko kahīñ par bhī aanā hai na jaanā hai
allāh kitāboñ meñ DhūñDhe se nahīñ miltā
allāh ke rāzoñ kā insān ḳhazāna hai
ek ruuhī parinde ne aa kar ye ḳhabar dī hai
allah-o-mohammad kā nāyāb fasāna hai
saaqī terī nazroñ se taqdīr badal jaa.e
qismat ke likhe ko ab tujh ko hī miTānā hai
nisbat ke gharāne kā kyā raaz kahūñ zāhid
rūhānī mohalla hai nūrānī gharānā hai
jannat hī na raas aa.ī duniyā hī na raas aa.ī
ab aage miyāñ 'rizvāñ' kis jā pe Thikāna hai
KHud apne ko pana hi allah ko pana hai
tauhid ki ye daulat ghar baiThe kamana hai
ruThe ko mana ne ko qismat ke banane ko
rindon ko kahin par bhi aana hai na jaana hai
allah kitabon mein DhunDhe se nahin milta
allah ke raazon ka insan KHazana hai
ek ruhi parinde ne aa kar ye KHabar di hai
allah-o-mohammad ka nayab fasana hai
saqi teri nazron se taqdir badal jae
qismat ke likhe ko ab tujh ko hi miTana hai
nisbat ke gharane ka kya raaz kahun zahid
ruhani mohalla hai nurani gharana hai
jannat hi na ras aai duniya hi na ras aai
ab aage miyan 'rizwan' kis ja pe Thikana hai
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.