Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sach hai shah-rag se qarin allah miyan hai re miyan

Azizuddin Rizwan Qadri

sach hai shah-rag se qarin allah miyan hai re miyan

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    sach hai shah-rag se qarīñ allāh miyāñ hai re miyāñ

    tujh meñ ye mādda samajhne kahāñ hai re mayāñ

    ġhaur kar apnā pata to ḳhud na paayā aaj tak

    saaf zāhir hai ki ḳhud nihāñ hai re miyāñ

    dekh al-insāno sirrī kah diyā hai yaar ne

    raaz to ḳhud aur tuuhī rāzdāñ hai re miyāñ

    zikr kis kufr kaisī aisī kaisī justujū

    aag to sho'la hai to 'ālam dhuāñ hai re miyāñ

    donoñ 'ālam ik mu'amma hai use hal kar ke dekh

    ye haqīqat hai ki vahm-o-gumāñ hai re miyāñ

    do kamānoñ thā kaisā fāsla me'arāj meñ

    vaah kitnā pyārā andāz-e-bayāñ hai re miyāñ

    raat din kaisī hai ye bakvās 'rizvāñ' chup raho

    jaan kar anjān rahne meñ amaañ hai re miyāñ

    sach hai shah-rag se qarin allah miyan hai re miyan

    tujh mein ye madda samajhne ka kahan hai re mayan

    ghaur kar apna pata to KHud na paya aaj tak

    saf zahir hai ki tu KHud hi nihan hai re miyan

    dekh al-insano sirri kah diya hai yar ne

    raaz to KHud aur tuhi raazdan hai re miyan

    zikr kis ka kufr kaisi aisi kaisi justuju

    aag to sho'la hai to 'alam dhuan hai re miyan

    donon 'alam ek mu'amma hai use hal kar ke dekh

    ye haqiqat hai ki ya wahm-o-guman hai re miyan

    do kamanon ka tha kaisa fasla me'araj mein

    wah kitna pyara andaz-e-bayan hai re miyan

    raat din kaisi hai ye bakwas 'rizwan' chup raho

    jaan kar anjaan rahne mein aman hai re miyan

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now