Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ibtida mein hazrat-e-insan kya tha kya hua

Azizuddin Rizwan Qadri

ibtida mein hazrat-e-insan kya tha kya hua

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    ibtidā meñ hazrat-e-insān kyā thā kyā huā

    ġhaur kar ḳhud ko zarā pahchān kyā thā kyā huā

    ye samajh kar sajda kar letā huuñ pā-e-yār par

    sajda na karne se ye shaitāñ kyā thā kyā huā

    pahle thā īmān ġhairoñ par ab apne aap par

    kyā kahūñ pahle mirā īmān kyā thā kyā huā

    haal mustaqbil-o-māzī hai naqsha dhyān meñ

    isliye kahtā huuñ ḳhud ko jaan kyā thā kyā huā

    kuchh na the to kuchh hue phir kuchh to hoñge ā.inda

    ġhaur karne par khulā 'irfān kyā thā kyā huā

    ganj-e-maḳhfī meñ merī hastī kyā 'unvān thā

    sochtā huuñ aaj vo 'irfān kyā thā kyā huā

    jo bhī hai jaisā bhī hai gar jāntā hai jaan lo

    maiñ nahīñ kahtā ki ye 'rizvāñ' kyā thā kyā huā

    ibtida mein hazrat-e-insan kya tha kya hua

    ghaur kar KHud ko zara pahchan kya tha kya hua

    ye samajh kar sajda kar leta hun pa-e-yar par

    sajda na karne se ye shaitan kya tha kya hua

    pahle tha iman ghairon par ab apne aap par

    kya kahun pahle mera iman kya tha kya hua

    haal mustaqbil-o-mazi ka hai naqsha dhyan mein

    isliye kahta hun KHud ko jaan kya tha kya hua

    kuchh na the to kuchh hue phir kuchh to honge aainda

    ghaur karne par khula 'irfan kya tha kya hua

    ganj-e-maKHfi mein meri hasti kya 'unwan tha

    sochta hun aaj wo 'irfan kya tha kya hua

    jo bhi hai jaisa bhi hai gar jaanta hai jaan lo

    main nahin kahta ki ye 'rizwan' kya tha kya hua

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now