meri justuju ka bhala hua meri justuju ka sila mila
meri justuju ka bhala hua meri justuju ka sila mila
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
merī justujū kā bhalā huā merī justujū kā sila milā
jo sanam kī mujh ko talāsh thī vo sanam ḳhudī meñ chhupā milā
ye hī dar thā mere nasīb kā usī dar se paayā sukūn-e-dil
usī dar se mujh ko anā milī usī dar se us kā pata milā
merā piir pīroñ kā piir hai merā piir shāhī faqīr hai
jo talab thī mere junūñ kī mujhe aur us se sivā milā
dar-e-pīr hai dar-e-mustafā dar-e-mustafā hai dar-e-ḳhudā
usī dar se samjhā rasūl ko usī dar se rāz-e-ḳhudā milā
banā aañkh un ko jo dekh le banā 'aql un ko jo jaan le
be-subūt un ko jo pā liyā use do-jahāñ kā sila milā
banā kaan un kī sadā ko sun banā nafs un kā ḳhayāl kar
jo na samjhā aise rumūz ko na ḳhudī milī na ḳhudā milā
na gila na shikve kī hājateñ na kisī se 'rizvāñ' shikāyateñ
jo bhī honā thā vo huā huā jo nasīb meñ thā milā milā
meri justuju ka bhala hua meri justuju ka sila mila
jo sanam ki mujh ko talash thi wo sanam KHudi mein chhupa mila
ye hi dar tha mere nasib ka usi dar se paya sukun-e-dil
usi dar se mujh ko ana mili usi dar se us ka pata mila
mera pir piron ka pir hai mera pir shahi faqir hai
jo talab thi mere junun ki mujhe aur us se siwa mila
dar-e-pir hai dar-e-mustafa dar-e-mustafa hai dar-e-KHuda
usi dar se samjha rasul ko usi dar se raaz-e-KHuda mila
bana aankh un ko jo dekh le bana 'aql un ko jo jaan le
be-subut un ko jo pa liya use do-jahan ka sila mila
bana kan un ki sada ko sun bana nafs un ka KHayal kar
jo na samjha aise rumuz ko na KHudi mili na KHuda mila
na gila na shikwe ki hajaten na kisi se 'rizwan' shikayaten
jo bhi hona tha wo hua hua jo nasib mein tha mila mila
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.