gandum ko kha ke rizwan hain aise haal mein hum
gandum ko kha ke rizwan hain aise haal mein hum
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
gandum ko khā ke 'rizvāñ' haiñ aise haal meñ ham
pahle 'urūj par the ab haiñ zavāl meñ ham
donoñ ke do gharoñ meñ donoñ kā hai Thikāna
bait-ul-harām meñ tum bait-ul-halāl meñ ham
zāhid meñ aur ham meñ hai farq sirf itnā
vo ġhairat meñ gum hai apne ḳhayāl meñ ham
rūhoñ kī maañ kahāñ hai aur us kā naam kyā hai
muddat se ġhota-zan haiñ aise savāl meñ ham
kahte haiñ ḳhud-parastī hai ḳhud ḳhudā-parastī
ye shaġhl hai hamārā haiñ mast haal meñ ham
mai-kash bane to ḳhud kī karne lage tilāvat
rahte haiñ raat aur din apne visāl meñ ham
ham apnī āp-bītī kis ko sunā.eñ 'rizvāñ'
kyā paa.e kyā na paa.e chālīs saal meñ ham
gandum ko kha ke 'rizwan' hain aise haal mein hum
pahle 'uruj par the ab hain zawal mein hum
donon ke do gharon mein donon ka hai Thikana
bait-ul-haram mein tum bait-ul-halal mein hum
zahid mein aur hum mein hai farq sirf itna
wo ghairat mein gum hai apne KHayal mein hum
ruhon ki man kahan hai aur us ka nam kya hai
muddat se ghota-zan hain aise sawal mein hum
kahte hain KHud-parasti hai KHud KHuda-parasti
ye shaghl hai hamara hain mast haal mein hum
mai-kash bane to KHud ki karne lage tilawat
rahte hain raat aur din apne visal mein hum
hum apni aap-biti kis ko sunaen 'rizwan'
kya pae kya na pae chaalis sal mein hum
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.