raaz ye apne pe khulta kyun nahin
raaz ye apne pe khultā kyuuñ nahīñ
zāt-e-havvā kā ḳhulāsa kyuuñ nahīñ
hai alif se baḌh ke nukte kā maqām
kalma-e-tayyab meñ nukta kyuuñ nahīñ
pūchh zāhid se huvazzāhir kā raaz
hai vo zāhir meñ to dikhtā kyuuñ nahīñ
saarā 'ālam mā'rifat kī hai kitāb
har koī paḌh kar samajhtā kyuuñ nahīñ
hazrat-e-ādam ko sajda kis liye
hazrat-e-havvā ko sajda kyuuñ nahīñ
kyuuñ muzakkar zer-e-parda ho gayā
hai muannas us pe parda kyuuñ nahīñ
hai ḳhudā meñ to 'rizvāñ' sochiye
ḳhud se milne kā irāda kyuuñ nahīñ
raaz ye apne pe khulta kyun nahin
zat-e-hawwa ka KHulasa kyun nahin
hai alif se baDh ke nukte ka maqam
kalma-e-tayyab mein nukta kyun nahin
puchh zahid se huwazzahir ka raaz
hai wo zahir mein to dikhta kyun nahin
sara 'alam ma'rifat ki hai kitab
har koi paDh kar samajhta kyun nahin
hazrat-e-adam ko sajda kis liye
hazrat-e-hawwa ko sajda kyun nahin
kyun muzakkar zer-e-parda ho gaya
hai muannas us pe parda kyun nahin
hai KHuda mein to 'rizwan' sochiye
KHud se milne ka irada kyun nahin
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.