us yar ko pahchano jo sab se nirala hai
us yar ko pahchano jo sab se nirala hai
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
us yaar ko pahchāno jo sab se nirālā hai
tā'rīf hai ye us kī gorā hai na kaalā hai
ham nuur se paidā haiñ hai nuur 'ayāñ ham se
ham se hai jahāñ raushan ham se hī ujālā hai
yuuñ apnī 'ibādat par tū fakHr na kar zāhid
har ghar meñ mohammad haiñ har ghar meñ ujālā hai
rūh-e-nafas dil-o-jāñ sab haiñ us ke makāñ lekin
jis ghar meñ vo rahtā hai vo ghar hī nirālā hai
ab rāh-e-tasavvuf meñ mumkin hai bhaTak jaa.eñ
gūñgoñ kī hukūmat ko andhoñ ne sambhālā hai
ab dozaḳh-o-jannat kī kyā sair kareñ 'rizvāñ'
dozaḳh ko bhī taalā hai jannat ko bhī taalā hai
us yar ko pahchano jo sab se nirala hai
ta'rif hai ye us ki gora hai na kala hai
hum nur se paida hain hai nur 'ayan hum se
hum se hai jahan raushan hum se hi ujala hai
yun apni 'ibaadat par tu fakHr na kar zahid
har ghar mein mohammad hain har ghar mein ujala hai
ruh-e-nafas dil-o-jaan sab hain us ke makan lekin
jis ghar mein wo rahta hai wo ghar hi nirala hai
ab rah-e-tasawwuf mein mumkin hai bhaTak jaen
gungon ki hukumat ko andhon ne sambhaala hai
ab dozaKH-o-jannat ki kya sair karen 'rizwan'
dozaKH ko bhi tala hai jannat ko bhi tala hai
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.