sab kuchh hai dafn mujh mein wo zinda mazar hun
sab kuchh hai dafn mujh mein wo zinda mazar hun
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
sab kuchh hai dafn mujh meñ vo zinda mazār huuñ
is vāste maiñ apnī ḳhudī par nisār huuñ
har ik kā zarf dekh ke detā huuñ jām-e-rāz
yā'nī ke mai-kashoñ kā maiñ parvardigār huuñ
kis kī talab kahāñ kī talab kaisī justujū
muddat se ḳhud se milne ko maiñ be-qarār huuñ
nazroñ meñ shakl-e-yār to hāthoñ meñ jām-e-'ishq
aisā huuñ riñd aisā itā'at-guzār huuñ
rahmat mujhe pukār rahī hai ke aa idhar
kaise na vo pukārtī tasvīr-e-yār huuñ
karnī paḌī hai mujh ko tilāvat vujūd kī
goyā ke kul vujūd kā maiñ ishtihār huuñ
ganj-e-ḳhafī se niklā ka.ī sūrateñ liye
'rizvāñ' maiñ ek hī huuñ magar be-shumār huuñ
sab kuchh hai dafn mujh mein wo zinda mazar hun
is waste main apni KHudi par nisar hun
har ek ka zarf dekh ke deta hun jam-e-raaz
ya'ni ke mai-kashon ka main parwardigar hun
kis ki talab kahan ki talab kaisi justuju
muddat se KHud se milne ko main be-qarar hun
nazron mein shakl-e-yar to hathon mein jam-e-'ishq
aisa hun rind aisa ita'at-guzar hun
rahmat mujhe pukar rahi hai ke aa idhar
kaise na wo pukarti taswir-e-yar hun
karni paDi hai mujh ko tilawat wujud ki
goya ke kul wujud ka main ishtihaar hun
ganj-e-KHafi se nikla kai suraten liye
'rizwan' main ek hi hun magar be-shumar hun
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.