haqq-e-tala arsh par hai kya kabhi dekha gaya
haqq-e-tala arsh par hai kya kabhi dekha gaya
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
haqq-e-ta'ala 'arsh par hai kyā kabhī dekhā gayā
aur phir shah-rag se hai nazdīk kyā kabhī samjhāyā gayā
havvā ko jadda meñ aur aadam ko sarāndīb meñ
mu'allim-ul-malakūt ko kahiye kahāñ pheñkā gayā
kyuuñ huī taḳhlīq-e-ādam ham ko samjhāyā gayā
chaar 'anāsir se huī tā'mīr paḌhvāyā gayā
farsh se miTTī to mañgvā.ī ga.ī sach hai magar
aag kis ne laa.ī paanī kis se mañgvāyā gayā
apne maqsad ke liye vo apnī lazzat ke liye
ham ko miTTī ke khilaune de ke bahlāyā gayā
pūchhā jab iblīs se mardūd kyuuñ kaise huā
baat sach sach jo bhī thī kahne ko sharmāyā gayā
sajda zindoñ ko huā karatā hai murdoñ ko nahīñ
kab janāze ko batāo sajda karvāyā gayā
chup raho 'rizvāñ' ḳhudā ke vāste ab chup raho
aise nuktoñ se har ik kā qalb garmāyā gayā
haqq-e-ta'ala 'arsh par hai kya kabhi dekha gaya
aur phir shah-rag se hai nazdik kya kabhi samjhaya gaya
hawwa ko jadda mein aur aadam ko sarandib mein
mu'allim-ul-malakut ko kahiye kahan phenka gaya
kyun hui taKHliq-e-adam hum ko samjhaya gaya
chaar 'anasir se hui ta'mir paDhwaya gaya
farsh se miTTi to mangwai gai sach hai magar
aag kis ne lai pani kis se mangwaya gaya
apne maqsad ke liye wo apni lazzat ke liye
hum ko miTTi ke khilaune de ke bahlaya gaya
puchha jab iblis se mardud kyun kaise hua
baat sach sach jo bhi thi kahne ko sharmaya gaya
sajda zindon ko hua karata hai murdon ko nahin
kab janaze ko batao sajda karwaya gaya
chup raho 'rizwan' KHuda ke waste ab chup raho
aise nukton se har ek ka qalb garmaya gaya
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.