uchhalta kudta qatra tha miTTi khankhanati thi
uchhalta kudta qatra tha miTTi khankhanati thi
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
uchhaltā kūdtā qatra thā miTTī khankhanātī thī
havā thī raqs meñ aur aag ḳhud tāliyāñ bajātī thī
merī taḳhlīq jab hone lagī thī dast-e-qudrat se
anal-haq kā tarāna saut aa kar gungunātī thī
huval-avval jo chaar unsur se shai niklī vo kyā shai thī
jo aksar ādam-o-havvā meñ rah kar gudgudātī thī
bahaknā bhuul jaanā farz thā ādam-o-havvā kā
usī ġhaflat vo nādānī pe qudrat muskurātī thī
ziyāda nuur kā had se guzarnā naar ho jaanā
jabhī to sajda-e-ādam se us ko sharm aatī thī
haram ḳhāne meñ jab nūrānī qatra ho gayā dāḳhil
usī tauhīd ke qatre meñ aksar tilmilātī thī
maiñ jab ḳhalvat-kade meñ thā to dañke ho ke bajte the
anā min-nūrillāh kī nidā kānoñ meñ aatī thī
huvazzāhir huval-bātin hamārī shaan hai 'rizvāñ'
huval-avval meñ āḳhir kī tajallī jagmagātī thī
uchhalta kudta qatra tha miTTi khankhanati thi
hawa thi raqs mein aur aag KHud taliyan bajati thi
meri taKHliq jab hone lagi thi dast-e-qudrat se
anal-haq ka tarana saut aa kar gungunati thi
huwal-awwal jo chaar unsur se shai nikli wo kya shai thi
jo aksar aadam-o-hawwa mein rah kar gudgudati thi
bahakna bhul jaana farz tha aadam-o-hawwa ka
usi ghaflat wo nadani pe qudrat muskuraati thi
ziyaada nur ka had se guzarna nar ho jaana
jabhi to sajda-e-adam se us ko sharm aati thi
haram KHane mein jab nurani qatra ho gaya daKHil
usi tauhid ke qatre mein aksar tilmilati thi
main jab KHalwat-kade mein tha to danke ho ke bajte the
ana min-nurillah ki nida kanon mein aati thi
huwazzahir huwal-baatin hamari shan hai 'rizwan'
huwal-awwal mein aaKHir ki tajalli jagmagati thi
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.