KHud ki tahqiq mein raaz ye khul gaya
ḳhud kī tahqīq meñ raaz ye khul gayā
ham se haT kar ḳhudā dosrā kaun hai
ham hī ham haiñ nahīñ koī apne sivā
hai to batlā do apne sivā kaun hai
sāqiyā terī ḳhidmat meñ ye 'arz hai
ham jo pūchheñ batānā terā farz hai
kaun zāhir meñ hai kaun bātin meñ hai
ibtidā kaun thā intihā kaun hai
mā'nī kyā haiñ mohammad ke samjhā zarā
kis ko kahtī hai duniyā rasūl-e-ḳhudā
ye rasūl-e-ḳhudā ko to samjhe nahīñ
ye rasūl-e-ḳhudā kā ḳhudā kaun hai
ek sau chaudah suure haiñ qur.ān meñ
tan ke qur.ān meñ suure kahāñ hai batā
kis tarah ḳhud kī ab ham tilāvat kareñ
sāqiyā apnā tere sivā kaun hai
nek-o-bad kis ke a'amāl batlā.īye
marzī aur hukm kis kā hai samjhā.īye
aaj tak ham na samjhe ki is bazm meñ
pur-ḳhatā kaun hai be-ḳhatā kaun hai
lā'nat allāh kī aise īmān par
fe'l-e-bad apne lā'nat ho shaitān par
achchhī tā'līm paa.e ho 'rizvāñ' miyāñ
bolo haqdār lā-haul kā kaun hai
KHud ki tahqiq mein raaz ye khul gaya
hum se haT kar KHuda dosra kaun hai
hum hi hum hain nahin koi apne siwa
hai to batla do apne siwa kaun hai
saqiya teri KHidmat mein ye 'arz hai
hum jo puchhen batana tera farz hai
kaun zahir mein hai kaun baatin mein hai
ibtida kaun tha intiha kaun hai
ma'ni kya hain mohammad ke samjha zara
kis ko kahti hai duniya rasul-e-KHuda
ye rasul-e-KHuda ko to samjhe nahin
ye rasul-e-KHuda ka KHuda kaun hai
ek sau chaudah sure hain quran mein
tan ke quran mein sure kahan hai bata
kis tarah KHud ki ab hum tilawat karen
saqiya apna tere siwa kaun hai
nek-o-bad kis ke a'amal batlaiye
marzi aur hukm kis ka hai samjhaiye
aaj tak hum na samjhe ki is bazm mein
pur-KHata kaun hai be-KHata kaun hai
la'nat allah ki aise iman par
fe'l-e-bad apne la'nat ho shaitan par
achchhi ta'lim pae ho 'rizwan' miyan
bolo haqdar la-haul ka kaun hai
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.