ilmul-yaqin ke kaise dariche
'ilmul-yaqīn ke kaise darīche
allāh uupar sajda hai nīche
gumbad meñ rah kar āvāz sun lo
sab band kar do tan ke darīche
maiñ ek thā ek huuñ ek rahūñgā
allāh mohammad kyuuñ mere pīchhe
ruuh jis ne phūñkā hai ḳhud khīñch legā
aa kar farishte kyuuñ ruuh khīñche
sab meñ hai allāh sab allāh vaale
na koī aage na koī pīchhe
nasab ke ye phuul murjhāte kaise
haqq-ul-yaqīñ se ham un ko sīñche
ham ḳhud ko dekhne ham ḳhud ko paane
naqshe 'adam ke ham jab bhī khīñche
apne saudā ab kaun hai 'rizvāñ'
parde se bāhar parde ke pīchhe
'ilmul-yaqin ke kaise dariche
allah upar sajda hai niche
gumbad mein rah kar aawaz sun lo
sab band kar do tan ke dariche
main ek tha ek hun ek rahunga
allah mohammad kyun mere pichhe
ruh jis ne phunka hai KHud khinch lega
aa kar farishte kyun ruh khinche
sab mein hai allah sab allah wale
na koi aage na koi pichhe
nasab ke ye phul murjhate kaise
haqq-ul-yaqin se hum un ko sinche
hum KHud ko dekhne hum KHud ko pane
naqshe 'adam ke hum jab bhi khinche
apne sauda ab kaun hai 'rizwan'
parde se bahar parde ke pichhe
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.