zikr-e-inni-anallah kiya hun
zikr-e-innī-anallāh kiyā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
ganj-e-maḳhfī se bāhar huā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
thī mujhe fikr ḳhud jānñe kī
aap apne ko pahchānñe kī
shakl-e-ādam meñ zāhir huā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
na koī mujh se paidā huā hai
na koī mujh ko paidā kiyā hai
na kisī ko maiñ paidā kiyā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
hai varā-ul-varā zaat merī
qābil-e-fikr har baat merī
maiñ samandar huuñ ḳhud bulbulā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
āsmāñ par ahad meñ hī ahmad
farsh par ban ke ḳhud maiñ mohammad
phir bashar ban ke maiñ chhā gayā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
na azal se merī ibtidā hai
na abad tak merī intihā hai
maiñ hī ḳhud ibtidā intihā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
maiñ kahīñ rasūl-e-ḳhudā huuñ
aur kahīñ par maiñ rabbul-'ulā huuñ
hai laqab merā banda bajā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
ḳhalq merī hī parchhā.iyāñ haiñ
ham samajhte haiñ 'rizvāñ' miyāñ haiñ
maiñ na achchhā huuñ aur na burā huuñ
mānte kyuuñ nahīñ maiñ ḳhudā huuñ
zikr-e-inni-anallah kiya hun
mante kyun nahin main KHuda hun
ganj-e-maKHfi se bahar hua hun
mante kyun nahin main KHuda hun
thi mujhe fikr KHud jaanne ki
aap apne ko pahchanne ki
shakl-e-adam mein zahir hua hun
mante kyun nahin main KHuda hun
na koi mujh se paida hua hai
na koi mujh ko paida kiya hai
na kisi ko main paida kiya hun
mante kyun nahin main KHuda hun
hai wara-ul-wara zat meri
qabil-e-fikr har baat meri
main samandar hun KHud bulbula hun
mante kyun nahin main KHuda hun
aasman par ahad mein hi ahmad
farsh par ban ke KHud main mohammad
phir bashar ban ke main chha gaya hun
mante kyun nahin main KHuda hun
na azal se meri ibtida hai
na abad tak meri intiha hai
main hi KHud ibtida intiha hun
mante kyun nahin main KHuda hun
main kahin rasul-e-KHuda hun
aur kahin par main rabbul-'ula hun
hai laqab mera banda baja hun
mante kyun nahin main KHuda hun
KHalq meri hi parchhaiyan hain
hum samajhte hain 'rizwan' miyan hain
main na achchha hun aur na bura hun
mante kyun nahin main KHuda hun
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.