Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye raaz khula hum par asrar-e-KHilafat mein

Azizuddin Rizwan Qadri

ye raaz khula hum par asrar-e-KHilafat mein

Azizuddin Rizwan Qadri

MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri

    ye raaz khulā ham par asrār-e-ḳhilāfat meñ

    banda hai sharī'at meñ maulā hai haqīqat meñ

    iqrār-o-sadqāt anjām ḳhudā jaane

    pattharoñ ne gavāhī shīshoñ 'adālat

    sach hai ki yahāñ un pahchān zarūrī hai

    pahchān sāmāñ hai ḳhud apnī tilāvat meñ

    bahroñ ko sunā.ī de andhoñ ko dikhā.ī de

    ye hukm sunā.e haiñ nisbat hukūmat meñ

    shaitāñ burā.ī par tahqīq kiye jaao

    tā'rīf hai kyuuñ haq iblīs lā'nat meñ

    iqrār to kar lenā āsāñ hai bahut lekin

    iqrār nibhā lenā mushkil hai sharī'at meñ

    rūh-e-nafas dil-o-jāñ meñ mat DhūñDh unheñ 'rizvāñ'

    hargiz vo nahīñ rahte bosīda 'imārat meñ

    ye raaz khula hum par asrar-e-KHilafat mein

    banda hai shari'at mein maula hai haqiqat mein

    iqrar-o-sadqat ka anjam KHuda jaane

    pattharon ne gawahi di shishon ki 'adalat

    sach hai ki yahan un ki pahchan zaruri hai

    pahchan ka saman hai KHud apni tilawat mein

    bahron ko sunai de andhon ko dikhai de

    ye hukm sunae hain nisbat ki hukumat mein

    shaitan ki burai par tahqiq kiye jao

    ta'rif hai kyun haq ki iblis ki la'nat mein

    iqrar to kar lena aasan hai bahut lekin

    iqrar nibha lena mushkil hai shari'at mein

    ruh-e-nafas dil-o-jaan mein mat DhunDh unhen 'rizwan'

    hargiz wo nahin rahte bosida 'imarat mein

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Al-kabeer
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now