KHushi mein KHafi se nikal ja raha hai
ḳhushī meñ ḳhafī se nikal jā rahā hai
ḳhudā banda banñe machal jā rahā hai
na jaane ḳhudā hai ki zāt-e-ḳhudā hai
ye havā se dil to machal jā rahā hai
haram meñ hai aadam kī hurmat kā jazba
haram meñ hī dam ḳhud nikal jā rahā hai
abhī thā ḳhudī par abhī hai ḳhudā par
ki pal-pal meñ īmān phisal jā rahā hai
ḳhudā vo hai jo ik pal meñ uchhal kar
ki banda ke sāñche meñ Dhal jā rahā hai
mere shirk meñ un kī shirkat hai 'rizvāñ'
jab hī to ye qatra uchhal jā rahā hai
KHushi mein KHafi se nikal ja raha hai
KHuda banda banne machal ja raha hai
na jaane KHuda hai ki zat-e-KHuda hai
ye hawa se dil to machal ja raha hai
haram mein hai aadam ki hurmat ka jazba
haram mein hi dam KHud nikal ja raha hai
abhi tha KHudi par abhi hai KHuda par
ki pal-pal mein iman phisal ja raha hai
KHuda wo hai jo ek pal mein uchhal kar
ki banda ke sanche mein Dhal ja raha hai
mere shirk mein un ki shirkat hai 'rizwan'
jab hi to ye qatra uchhal ja raha hai
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.