kalima jo nahin paDhta momin nahin kahlata
kalima jo nahin paDhta momin nahin kahlata
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
kalima jo nahīñ paḌhtā momin nahīñ kahlātā
jo shirk nahīñ karatā jannat meñ nahīñ jaatā
mushrik jise kahte haiñ momin haiñ vahī bar-haq
ye raaz samajh jaao ab maiñ nahīñ samjhātā
allāh kī sūrat meñ insān nahīñ hargiz
ik shakl ke do kaise qur.ān ye farmātā
īmān mirā aisā īmān chalā jaa.e
jab jā ke phir aatā hai tā-hashr nahīñ jaatā
jab shakl nahīñ us kī kis shakl meñ dekhoge
murshid se zarā pūchho is raaz ko samjhātā
allāh qayāmat meñ jis ruup meñ aa.egā
pahchānoge kis tarh dil kahne ko sharmātā
zāhir vo rahā to kyā bātin vo rahā to kyā
vo kaisā rahā to kyā apnā hai vo man maatā
'rizvāñ' yahī behtar hai ab band zabāñ kar lo
bakvās se kyā hāsil dil hai yahī farmātā
kalima jo nahin paDhta momin nahin kahlata
jo shirk nahin karata jannat mein nahin jata
mushrik jise kahte hain momin hain wahi bar-haq
ye raaz samajh jao ab main nahin samjhata
allah ki surat mein insan nahin hargiz
ek shakl ke do kaise quran ye farmata
iman mera aisa iman chala jae
jab ja ke phir aata hai ta-hashr nahin jata
jab shakl nahin us ki kis shakl mein dekhoge
murshid se zara puchho is raaz ko samjhata
allah qayamat mein jis rup mein aaega
pahchanoge kis tarh dil kahne ko sharmata
zahir wo raha to kya baatin wo raha to kya
wo kaisa raha to kya apna hai wo man mata
'rizwan' yahi behtar hai ab band zaban kar lo
bakwas se kya hasil dil hai yahi farmata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.