jab meri did ki usko KHwahish hui arsh se farsh par mujhko lana paDa
jab meri did ki usko KHwahish hui arsh se farsh par mujhko lana paDa
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
jab merī diid kī us ko ḳhvāhish huī 'arsh se farsh par mujh ko laanā paḌā
baat itnī sī thī 'ishq be-tāb thā is liye saarā 'ālam banānā paḌā
ahad ahmad banā husn kī dhuup meñ ban ke aadam mohammad ke har ruup meñ
jis taraf dekhiye nuur hī nuur hai kis ko aanā paḌā kis ko jaanā paḌā
nāsehā jalva-gar kaun hai jaan le sukHn-e-aqrab ke mā'nī ko pahchān le
maiñ banā bhī ġhalat tū banā bhī ġhalat aisī takrār se baaz aanā paḌā
haañ ye sach hai ki har shai meñ hai vo nihāñ hai vo sho'bada gar kyā milegā nishāñ
phir bhī kuchh qalb kī tishnagī ke liye ḳhud ko khonā paḌā ḳhud ko paanā paḌā
ab tasavvur meñ apne kahāñ ġhair hai shar huā lā-patā ḳhair hī ḳhair hai
apnā zāhir hī bātin ko sajda kyā is liye sar ko apne jhukānā paḌā
kaise kah duuñ nahīñ koī mere sivā kyā samajh kar kahūñ jalva-gar hai ḳhudā
donoñ 'illat se 'rizvāñ' mubarrā hai vo aisī 'illat se dāman bachānā paḌā
jab meri did ki us ko KHwahish hui 'arsh se farsh par mujh ko lana paDa
baat itni si thi 'ishq be-tab tha is liye sara 'alam banana paDa
ahad ahmad bana husn ki dhup mein ban ke aadam mohammad ke har rup mein
jis taraf dekhiye nur hi nur hai kis ko aana paDa kis ko jaana paDa
naseha jalwa-gar kaun hai jaan le sukHn-e-aqrab ke ma'ni ko pahchan le
main bana bhi ghalat tu bana bhi ghalat aisi takrar se baz aana paDa
han ye sach hai ki har shai mein hai wo nihan hai wo sho'bada gar kya milega nishan
phir bhi kuchh qalb ki tishnagi ke liye KHud ko khona paDa KHud ko pana paDa
ab tasawwur mein apne kahan ghair hai shar hua la-pata KHair hi KHair hai
apna zahir hi baatin ko sajda kya is liye sar ko apne jhukana paDa
kaise kah dun nahin koi mere siwa kya samajh kar kahun jalwa-gar hai KHuda
donon 'illat se 'rizwan' mubarra hai wo aisi 'illat se daman bachana paDa
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.