kya bataun kya hua hai nur se
kyā batā.ūñ kyā huā hai nuur se
ḳhaak kā rishta milā hai nuur se
nuur vāloñ kā karishma dekhiye
nuur ḳhud hī jā milā hai nuur se
nuur aa kar nuur meñ zam ho gayā
nuur hī paidā huā hai nuur se
kal sarāpā ḳhud baneñge nuur ham
ham ne ye vā'da kiyā hai nuur se
paḌh anā min-nūrillāh kaun hai
ġhaur kar kyā kyā huā hai nuur se
dozaḳh-o-jannat ho yā kuchh aur ho
dosto sab kuchh banā hai nuur se
koī shai bhī nuur se ḳhālī nahīñ
aag dozaḳh meñ bharā hai nuur se
nuur hargiz naar ho saktā nahīñ
tuur phir kaise jalā hai nuur se
nuur kī 'rizvāñ' haqīqat kyā kahūñ
ḳhalq sab jalva-numā hai nuur se
kya bataun kya hua hai nur se
KHak ka rishta mila hai nur se
nur walon ka karishma dekhiye
nur KHud hi ja mila hai nur se
nur aa kar nur mein zam ho gaya
nur hi paida hua hai nur se
kal sarapa KHud banenge nur hum
hum ne ye wa'da kiya hai nur se
paDh ana min-nurillah kaun hai
ghaur kar kya kya hua hai nur se
dozaKH-o-jannat ho ya kuchh aur ho
dosto sab kuchh bana hai nur se
koi shai bhi nur se KHali nahin
aag dozaKH mein bhara hai nur se
nur hargiz nar ho sakta nahin
tur phir kaise jala hai nur se
nur ki 'rizwan' haqiqat kya kahun
KHalq sab jalwa-numa hai nur se
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.