Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mere aage

Mirza Ghalib

bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mere aage

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage

    hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage

    ik khel hai aurañg-e-sulaimāñ mire nazdīk

    ik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage

    juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūr

    juz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire aage

    hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hote

    ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage

    mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhe

    dekh ki kyā rañg hai terā mire aage

    sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñ

    baiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage

    phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftār

    rakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage

    nafrat gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrā

    kyūñkar kahūñ lo naam na un mire aage

    īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr

    ka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage

    āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam

    majnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage

    ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaate

    aa.ī shab-e-hijrāñ tamannā mire aage

    hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī ho

    aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage

    go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai

    rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage

    ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā

    'ġhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage

    bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mere aage

    hotā hai shab-o-roz tamāshā mere aage

    ek khel hai aurañg-e-sulaimāñ mere nazdīk

    ek baat hai ejāz-e-masīhā mere aage

    juz nam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūr

    juz wahm nahīñ hastī-e-ashiyā mere aage

    hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mere hote

    ghistā hai jabīñ ḳhak pe dariyā mere aage

    mat pūchh ki kyā haal hai merā tere pīchhe

    dekh ki kyā rañg hai terā mere aage

    sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huñ na kyuñ huñ

    baiThā hai but-e-āina-sīmā mere aage

    phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftār

    rakh de koī paimāna-e-sahbā mere aage

    nafrat gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrā

    kyūñkar kahūñ lo nam na un mere aage

    īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr

    kaba mere pīchhe hai kalīsā mere aage

    āshiq huñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam

    majnūñ ko burā kahtī hai lailā mere aage

    ḳhush hote haiñ par wasl meñ yuñ mar nahīñ jate

    aaī shab-e-hijrāñ tamannā mere aage

    hai maujzan ek qulzum-e-ḳhūñ kash yahī ho

    aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mere aage

    go hath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai

    rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mere aage

    ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā

    'ġhālib' ko burā kyuñ kaho achchhā mere aage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now