bagh banna use zeba hai na sahra hona
baaġh banñā use zebā hai na sahrā honā
dil kī me'arāj hai nā-kām-e-tamannā honā
aap be-parda chale aa.iye maiñ bazm meñ huuñ
mujh ko aatā hai naqāb-e-ruḳh-e-zebā honā
'umr-bhar terī tavajjoh pe rahī maut-o-hayāt
qatl karnā tujhe aayā na masīhā honā
tum ne dekhā hai kabhī sub.h kī be-nūrī ko
tum pe guzrā hai kabhī shaam kā tanhā honā
kārvāñ le ke chale aate haiñ guzre hue din
kyā qayāmat hai mire vāste tanhā honā
dil meñ qatre ke jo tūfāñ hai vo dariyā meñ kahāñ
varna dushvār na thā qatre kā dariyā honā
kyā karūñ yaad jo aa jaa.e vo maḳhmūr nazar
varna 'maikash' mujhe kyā farz thā rusvā honā
bagh banna use zeba hai na sahra hona
dil ki me'araj hai na-kaam-e-tamanna hona
aap be-parda chale aaiye main bazm mein hun
mujh ko aata hai naqab-e-ruKH-e-zeba hona
'umr-bhar teri tawajjoh pe rahi maut-o-hayat
qatl karna tujhe aaya na masiha hona
tum ne dekha hai kabhi subh ki be-nuri ko
tum pe guzra hai kabhi sham ka tanha hona
karwan le ke chale aate hain guzre hue din
kya qayamat hai mere waste tanha hona
dil mein qatre ke jo tufan hai wo dariya mein kahan
warna dushwar na tha qatre ka dariya hona
kya karun yaad jo aa jae wo maKHmur nazar
warna 'maikash' mujhe kya farz tha ruswa hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.