bahut rahi babul ghar dulhan
bahut rahī bābul ghar dulhan chal tere pī ne bulā.ī
bahut khel khelī sakhiyan so ant karī larikā.ī
nahā.e dho.e ke bastar pahire sab hī siñgār banā.ī
bidā karan ko kuTumb sab aa.e sagare log-lugā.ī
chaar kahār mil Doliyā uThā.ī sañg purohit naa.ī
chal hī banegī hot kahāñ hai nainan niir bahā.ī
ant bidā ho chalī hai dulhan kaahū ke kachhu na bane aa.i
mauj-ḳhushī sab dekhat rah ga.e māt-pitā aur bhaa.ī
morī kaun sañg lagan dhrā.ī dhan dhan terī hai ḳhudā.ī
bin māñge merī mañgnī jo kinheñ neh kī misrī khilā.ī
añgurī pakarī morā poñchā bhī pakaro kañgnā añgūThī pahirā.ī
ek ke naam kar diinī sajnī par ghar kī jo Thahrā.ī
nausha ke sañg mohe kar dīn.hīñ lāj-sankoch miTā.ī
sonā bhī dinhā rupā bhī dinhā bābul dil-dariyā.ī
gahel gahelī Doltī āñgan mā pakar achānak baiThā.ī
baiThat mahīn kapare pahnā.e kesar tilak lagā.ī
gun nahīñ ek augun bahutere kaise nausha rijhā.ī
'ḳhusrav' chale sasurārī sajnī sañg nahīñ koī aa.ī
bahut rahi babul ghar dulhan chal tere pi ne bulai
bahut khel kheli sakhiyan so ant kari larikai
nahae dhoe ke bastar pahire sab hi singar banai
bida karan ko kuTumb sab aae sagare log-lugai
chaar kahaar mil Doliya uThai sang purohit nai
chal hi banegi hot kahan hai nainan nir bahai
ant bida ho chali hai dulhan kahu ke kachhu na bane aai
mauj-KHushi sab dekhat rah gae mat-pita aur bhai
mori kaun sang lagan dhrai dhan dhan teri hai KHudai
bin mange meri mangni jo kinhen neh ki misri khilai
anguri pakari mora poncha bhi pakaro kangna anguThi pahirai
ek ke nam kar dini sajni par ghar ki jo Thahrai
nausha ke sang mohe kar dinhin laj-sankoch miTai
sona bhi dinha rupa bhi dinha babul dil-dariyai
gahel gaheli Dolti aangan ma pakar achanak baiThai
baiThat mahin kapare pahnae kesar tilak lagai
gun nahin ek augun bahutere kaise nausha rijhai
'KHusraw' chale sasurari sajni sang nahin koi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.