ai dil tujhe ḳhabar hai ki kyā kar rahā huuñ maiñ
jo haq hai zindagī kā adā kar rahā huuñ maiñ
tum ho jafā-navāz jafā kar rahe ho tum
maiñ huuñ vafā-parast vafā kar rahā huuñ maiñ
tum se to mujh ko koī shikāyat nahīñ rahī
qismat kī ḳhūbiyoñ kā galā kar rahā huuñ maiñ
haañ dījiye sazā ki sazā-vār ishq huuñ
haañ haañ maiñ kar rahā huuñ ḳhatā kar rahā huuñ maiñ
thā din ga.e ke naġhmoñ se hai kheltā thā dil
ab naala hā-e-hosh-rubā kar rahā huuñ maiñ
ab aap apnī shān-e-karam ko dikhā.iye
merī yahi ḳhatā hai ḳhatā kar rahā huuñ maiñ
shāyad usī taraf se mile kuchh sukūn-e-zīst
pahlū se apne ġham ko judā kar rahā huuñ maiñ
'bahzād' tum bhī dekh rahe ho gavāh ho
kab se buland dast-e-duā kar rahā huuñ maiñ
ai dil tujhe KHabar hai ki kya kar raha hun main
jo haq hai zindagi ka ada kar raha hun main
tum ho jafa-nawaz jafa kar rahe ho tum
main hun wafa-parast wafa kar raha hun main
tum se to mujh ko koi shikayat nahin rahi
qismat ki KHubiyon ka gala kar raha hun main
han dijiye saza ki saza-war ishq hun
han han main kar raha hun KHata kar raha hun main
tha din gae ke naghmon se hai khelta tha dil
ab nala ha-e-hosh-ruba kar raha hun main
ab aap apni shan-e-karam ko dikhaiye
meri yahi KHata hai KHata kar raha hun main
shayad usi taraf se mile kuchh sukun-e-zist
pahlu se apne gham ko juda kar raha hun main
'bahzad' tum bhi dekh rahe ho gawah ho
kab se buland dast-e-dua kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.