ban ke taswir-e-gham rah gae hain
ban ke tasvīr-e-ġham rah ga.e haiñ
kho.e-kho.e se ham rah ga.e haiñ
kījiye jo sitam rah ga.e haiñ
jaan dene ko ham rah ga.e haiñ
baañT liiñ sab ne aapas meñ ḳhushiyāñ
mere hisse meñ ġham rah ga.e haiñ
qāfile vaale manzil pe pahuñche
ye na dekhā ki ham rah ga.e haiñ
ab na uThnā sirhāne se mere
ab to gintī ke dam rah ga.e haiñ
allāh-allāh ye kis kī galī hai
uThte-uThte qadam rah ga.e haiñ
kā.ināt-e-jafā-o-vafā meñ
ek tum ek ham rah ga.e haiñ
dekh kar un ke mañgtoñ kī ġhairat
dañg ahl-e-karam rah ga.e haiñ
ham se allāh vaale kahāñ ab
aap jaise sanam rah ga.e haiñ
do qadam chal ke rāh-e-vafā meñ
thak ga.e tum ki ham rah ga.e haiñ
vo to aa kar ga.e bhī kabhī ke
dil pe naqsh-e-qadam rah ga.e haiñ
aaj saaqī pilā shaiḳh ko bhī
ik yahī mohtaram rah ga.e haiñ
vo ga.e jin ke dam se thī raunaq
aur rahne ko ham rah ga.e haiñ
in kī sattāriyāñ kuchh na pūchho
'āsiyoñ ke bharam rah ga.e haiñ
ai sabā ek zahmat zarā phir
in kī zulfoñ ke ḳham rah ga.e haiñ
daur-e-māzī kī tasvīr ākHir
ab 'nasīr' ek ham rah ga.e haiñ
dil 'nasīr' un kā thā le ga.e vo
ham ḳhudā kī qasam rah ga.e haiñ
ban ke taswir-e-gham rah gae hain
khoe-khoe se hum rah gae hain
kijiye jo sitam rah gae hain
jaan dene ko hum rah gae hain
banT lin sab ne aapas mein KHushiyan
mere hisse mein gham rah gae hain
qafile wale manzil pe pahunche
ye na dekha ki hum rah gae hain
ab na uThna sirhane se mere
ab to ginti ke dam rah gae hain
allah-allah ye kis ki gali hai
uThte-uThte qadam rah gae hain
kainat-e-jafa-o-wafa mein
ek tum ek hum rah gae hain
dekh kar un ke mangton ki ghairat
dang ahl-e-karam rah gae hain
hum se allah wale kahan ab
aap jaise sanam rah gae hain
do qadam chal ke rah-e-wafa mein
thak gae tum ki hum rah gae hain
wo to aa kar gae bhi kabhi ke
dil pe naqsh-e-qadam rah gae hain
aaj saqi pila shaiKH ko bhi
ek yahi mohtaram rah gae hain
wo gae jin ke dam se thi raunaq
aur rahne ko hum rah gae hain
in ki sattariyan kuchh na puchho
'asiyon ke bharam rah gae hain
ai saba ek zahmat zara phir
in ki zulfon ke KHam rah gae hain
daur-e-mazi ki taswir aakHir
ab 'nasir' ek hum rah gae hain
dil 'nasir' un ka tha le gae wo
hum KHuda ki qasam rah gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.