tera gham rahe salamat mere dil ko kya kami hai
tera gham rahe salamat mere dil ko kya kami hai
Baqir Shahjahanpuri
MORE BYBaqir Shahjahanpuri
terā ġham rahe salāmat mere dil ko kyā kamī hai
yahī merī bandagī hai yahī merī zindagī hai
terā dard merā darmāñ terā ġham merī ḳhushī hai
mujhe dard dene vaale terī zarra parvarī hai
na alam merā alam hai na ḳhushī merī ḳhushī hai
mujhe jis tarah tu rakkhe terī banda-parvarī hai
shab-e-ġham kī talḳhiyoñ ko koī us ke dil se pūchhe
terī raah takte-takte jise sub.h ho ga.ī hai
unheñ e'tibār ulfat jo na ho sakā abhī tak
maiñ samajh gayā yaqīnan abhī mujh meñ kuchh kamī hai
mere dil kā tū sahārā tū hī merī zindagī hai
ġham-e-yār tere sadqe tere dam se zindagī hai
tujhe kyā ḳhabar ai zāhid merī sajda-reziyoñ kī
merā sar vahīñ jhukā hai jahāñ ḳhatm bandagī hai
vo hujūm shor-e-mahshar jo jagā sakā na us ko
terā zikr karte-karte jise niiñd aa ga.ī hai
merī dāstān-e-ġham-gīñ koī kyā sunegā 'bāqar'
maiñ vo huuñ ki jis kī duniyā sar-e-shām luT ga.ī hai
tera gham rahe salamat mere dil ko kya kami hai
yahi meri bandagi hai yahi meri zindagi hai
tera dard mera darman tera gham meri KHushi hai
mujhe dard dene wale teri zarra parwari hai
na alam mera alam hai na KHushi meri KHushi hai
mujhe jis tarah tu rakkhe teri banda-parwari hai
shab-e-gham ki talKHiyon ko koi us ke dil se puchhe
teri rah takte-takte jise subh ho gai hai
unhen e'tibar ulfat jo na ho saka abhi tak
main samajh gaya yaqinan abhi mujh mein kuchh kami hai
mere dil ka tu sahaara tu hi meri zindagi hai
gham-e-yar tere sadqe tere dam se zindagi hai
tujhe kya KHabar ai zahid meri sajda-reziyon ki
mera sar wahin jhuka hai jahan KHatm bandagi hai
wo hujum shor-e-mahshar jo jaga saka na us ko
tera zikr karte-karte jise nind aa gai hai
meri dastan-e-gham-gin koi kya sunega 'baqar'
main wo hun ki jis ki duniya sar-e-sham luT gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.