tumhaare tasawwur mein din-raat rahna ye meri ibaadat nahin hai to kya hai
tumhaare tasawwur mein din-raat rahna ye meri ibaadat nahin hai to kya hai
Baqir Shahjahanpuri
MORE BYBaqir Shahjahanpuri
tumhāre tasavvur meñ din-rāt rahnā ye merī 'ibādat nahīñ hai to kyā hai
jidhar dekhtā huuñ tumhīñ jalva-gar ho ye me.arāj-e-ulfat nahīñ hai to kyā hai
kahāñ ham kahāñ vo kahāñ be-hijābī kahāñ rāz-dārī-e-husn-o-mohabbat
kahāñ apnī nazreñ kahāñ un ke jalve ye un kī 'ināyat nahīñ hai to kyā hai
un āñkhoñ kī mastī ko mashrab meñ apne na kyuuñ kar kaheñ bāda-e-jām-e-'irfāñ
pa-e-'āshiqāñ aap kā āstāna agar bāb-e-jannat nahīñ hai to kyā hai
bahut nikle armān-e-dil phir bhī 'bāqar' magar hai vahī ik hujūm-e-tamannā
tumheñ pā ke bhī hai vahī be-qarārī junūn-e-mohabbat nahīñ hai to kyā hai
tumhaare tasawwur mein din-raat rahna ye meri 'ibaadat nahin hai to kya hai
jidhar dekhta hun tumhin jalwa-gar ho ye mearaj-e-ulfat nahin hai to kya hai
kahan hum kahan wo kahan be-hijabi kahan raaz-dari-e-husn-o-mohabbat
kahan apni nazren kahan un ke jalwe ye un ki 'inayat nahin hai to kya hai
un aankhon ki masti ko mashrab mein apne na kyun kar kahen baada-e-jam-e-'irfan
pa-e-'ashiqan aap ka aastana agar bab-e-jannat nahin hai to kya hai
bahut nikle arman-e-dil phir bhi 'baqar' magar hai wahi ek hujum-e-tamanna
tumhein pa ke bhi hai wahi be-qarari junun-e-mohabbat nahin hai to kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.