Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ba-wazu ho kar piyen sab mai-kade mein mil ke mul

Baqir Shahjahanpuri

ba-wazu ho kar piyen sab mai-kade mein mil ke mul

Baqir Shahjahanpuri

MORE BYBaqir Shahjahanpuri

    bā-vazū ho kar piyeñ sab mai-kade meñ mil ke mul

    ho rahe haiñ ek riñd ’ārif-o-'āqil ke qul

    allāh allāh bāda-e-gul-gūñ ye nairañgiyāñ

    ma.e ke sāġhar haiñ ba-bātin aur ba-zāhir gil ke gul

    aate aate rah ga.e vo pursish-e-bīmār ko

    khulte-khulte rah ga.e ’uqde mirī mushkil ke kul

    kis mīzān-e-mohabbat meñ garāñ palla rahe

    saath ai ḳhūn-e-tamannā ḳhanjar-e-qātil ke tul

    tābkai ai nā-shagufta ġhunche ye mohr-e-sukūt

    kuchh to rañg-e-be-sabātī par chaman ke khil ke khul

    ham azal se haiñ 'bāqar' jānisār-e-bū-turāb

    bā’d-e-murdan dīdanī hoñge hamārī gil ke gul

    ba-wazu ho kar piyen sab mai-kade mein mil ke mul

    ho rahe hain ek rind ’arif-o-'aqil ke qul

    allah allah baada-e-gul-gun ki ye nairangiyan

    mae ke saghar hain ba-baatin aur ba-zahir gil ke gul

    aate aate rah gae wo pursish-e-bimar ko

    khulte-khulte rah gae ’uqde meri mushkil ke kul

    kis ka mizan-e-mohabbat mein garan palla rahe

    sath ai KHun-e-tamanna KHanjar-e-qatil ke tul

    tabkai ai na-shagufta ghunche ye mohr-e-sukut

    kuchh to rang-e-be-sabaati par chaman ke khil ke khul

    hum azal se hi hain 'baqar' jaanisar-e-bu-turab

    ba’d-e-murdan didani honge hamari gil ke gul

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now