do-alam mein nazar aata hai jalwa sar-ba-sar apna
do-'ālam meñ nazar aatā hai jalva sar-ba-sar apnā
tamāsha dekhtā hai aap husn-e-ḳhud-nigar apnā
nigāhoñ meñ samā.eñ kyā karishme husn-e-fitrat ke
tirā jalva hai vāfir tañg-dāmān-e-nazar apnā
hameñ rāh-e-talab meñ ḳhaak ho jaane se matlab hai
qadam pahuñche na pahuñche manzil-e-maqsūd par apnā
muyassar hogā auj-e-ḳhāksārī ḳhaak meñ mil kar
falak par uḌ ke pahuñchegā ġhubār-e-muntashir apnā
havā-e-marg kī zad meñ charāġh-e-zindagānī hai
vahīñ manzil hai jis jā ḳhatm ho jaa.e safar apnā
koī parvāna jaltā hai to ro kar sham.a kahtī hai
yahī hai soz-e-ġham to ḳhātima hai tā-sahar apnā
do-'alam mein nazar aata hai jalwa sar-ba-sar apna
tamasha dekhta hai aap husn-e-KHud-nigar apna
nigahon mein samaen kya karishme husn-e-fitrat ke
tera jalwa hai wafir tang-daman-e-nazar apna
hamein rah-e-talab mein KHak ho jaane se matlab hai
qadam pahunche na pahunche manzil-e-maqsud par apna
muyassar hoga auj-e-KHaksari KHak mein mil kar
falak par uD ke pahunchega ghubar-e-muntashir apna
hawa-e-marg ki zad mein charagh-e-zindagani hai
wahin manzil hai jis ja KHatm ho jae safar apna
koi parwana jalta hai to ro kar shama kahti hai
yahi hai soz-e-gham to KHatima hai ta-sahar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.