barson ke intizar ka anjam likh diya
barsoñ ke intizār kā anjām likh diyā
kāġhaz pe shaam kaaT ke phir shaam likh diyā
bikhrī paḌī thī TuuT ke kaliyāñ zamīn par
tartīb de ke maiñ ne terā naam likh diyā
āsāñ nahīñ thī tark-e-mohabbat kī dāstāñ
do āñso.oñ ne āḳhirī paiġhām likh diyā
ham ko kisī ke husn shā.er banā diyā
hoñToñ kā naam le na sake jaam likh diyā
allāh zindagī se kahāñ tak nibhā.ūñ maiñ
us be-vafā ke saath merā naam likh diyā
taqsīm ho rahī thī khudā.ī kī ne'amateñ
ek 'ishq bach gayā so mere naam likh diyā
'qaisar' kisī kī den hai ye shā'irī merī
us kī ġhazal pe kis ne merā naam likh diyā
barson ke intizar ka anjam likh diya
kaghaz pe sham kaT ke phir sham likh diya
bikhri paDi thi TuT ke kaliyan zamin par
tartib de ke main ne tera nam likh diya
aasan nahin thi tark-e-mohabbat ki dastan
do aansoon ne aaKHiri paigham likh diya
hum ko kisi ke husn shaer bana diya
honTon ka nam le na sake jam likh diya
allah zindagi se kahan tak nibhaun main
us be-wafa ke sath mera nam likh diya
taqsim ho rahi thi khudai ki ne'amaten
ek 'ishq bach gaya so mere nam likh diya
'qaisar' kisi ki den hai ye sha'iri meri
us ki ghazal pe kis ne mera nam likh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.