bas unki KHushi jaanna chahta hun
bas un kī ḳhushī jānñā chāhtā huuñ
vo ḳhud jānte haiñ maiñ kyā chāhtā huuñ
sukūn-e-dil-e-mubtalā chāhtā huuñ
ġham-e-ishq kī intihā chāhtā huuñ
maiñ ḳhud apnī nisbat se kyā chāhtā huuñ
tumhārā hī chāhā huā chāhtā huuñ
vafā hī javāb-e-vafā chāhtā huuñ
junūn-e-mohabbat ye kyā chāhtā huuñ
tamannā kā mafhūm nāzuk samajh kar
tamannā se kuchh māvarā chāhtā huuñ
tire sāmne mahviyat meñ na samjhā
maiñ kyā chāhtā huuñ maiñ kyā chāhtā huuñ
zahe jalva nā-mukarrar ki har dam
tumheñ dekh kar dekhnā chāhtā huuñ
mohabbat meñ har mudda.ā se guzar kar
maiñ takmīl-e-har mudda.ā chāhtā huuñ
'zahīn' apne dil se kiyā jis ne bad-dil
vahī ġhamza-e-dil-rubā chāhtā huuñ
bas un ki KHushi jaanna chahta hun
wo KHud jaante hain main kya chahta hun
sukun-e-dil-e-mubtala chahta hun
gham-e-ishq ki intiha chahta hun
main KHud apni nisbat se kya chahta hun
tumhaara hi chaha hua chahta hun
wafa hi jawab-e-wafa chahta hun
junun-e-mohabbat ye kya chahta hun
tamanna ka mafhum nazuk samajh kar
tamanna se kuchh mawara chahta hun
tere samne mahwiyat mein na samjha
main kya chahta hun main kya chahta hun
zahe jalwa na-mukarrar ki har dam
tumhein dekh kar dekhna chahta hun
mohabbat mein har muddaa se guzar kar
main takmil-e-har muddaa chahta hun
'zahin' apne dil se kiya jis ne bad-dil
wahi ghamza-e-dil-ruba chahta hun
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 380)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.