bazm hai saqi hai mai hai gardish-e-paimana hai
bazm hai saaqī hai mai hai gardish-e-paimāna hai
ab kahāñ mastoñ ko hosh kā'ba-o-but-ḳhāna hai
jis ko dekho mast hai mad.hosh hai dīvāna hai
har nazar ai jān-e-jāñ terī tajallī-ḳhāna hai
sad mubārak ho gayā dil jalva-gāh-e-nāz meñ
'aks jab se aañkh meñ husn-e-ruḳh-e-jānāna hai
sabr sadqe hosh qurbāñ dil huā us par nisār
madh-bharī āñkheñ haiñ jis kī har adā mastāna hai
ġham nahīñ duniyā agarche us ko dīvāna kahe
hai vahī hushiyār be-shak jo tirā dīvāna hai
kar nahīñ saktā masīhā kuchh mire dil kā 'ilāj
dard kā daarū faqat ai jaañ tirā paimāna hai
kis kī jānib ruḳh ho apnā ho kahāñ sajda adā
tū mirā qibla hai jab ka.aba tirā kāshāna hai
jin ke saaqī mai-parasto haiñ huzūr-e-‘ārifī’
bul-'ulā.ī jaam hai vo qādrī mai-ḳhāna hai
bil-yaqīñ sarkār meñ 'manzūr' hai 'manzūr' tū
terā mashrab ham-navā-e-mashrab-e-rindāna hai
bazm hai saqi hai mai hai gardish-e-paimana hai
ab kahan maston ko hosh ka'ba-o-but-KHana hai
jis ko dekho mast hai madhosh hai diwana hai
har nazar ai jaan-e-jaan teri tajalli-KHana hai
sad mubarak ho gaya dil jalwa-gah-e-naz mein
'aks jab se aankh mein husn-e-ruKH-e-jaanana hai
sabr sadqe hosh qurban dil hua us par nisar
madh-bhari aankhen hain jis ki har ada mastana hai
gham nahin duniya agarche us ko diwana kahe
hai wahi hushiyar be-shak jo tera diwana hai
kar nahin sakta masiha kuchh mere dil ka 'ilaj
dard ka daru faqat ai jaan tera paimana hai
kis ki jaanib ruKH ho apna ho kahan sajda ada
tu mera qibla hai jab kaba tera kashana hai
jin ke saqi mai-parasto hain huzur-e-‘arifi’
bul-'ulai jam hai wo qadri mai-KHana hai
bil-yaqin sarkar mein 'manzur' hai 'manzur' tu
tera mashrab ham-nawa-e-mashrab-e-rindana hai
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 100)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.