be-etidāliyoñ se subuk sab meñ hum hue
be-e'tidāliyoñ se subuk sab meñ ham hue
jitne ziyāda ho ga.e utne hī kam hue
pinhāñ thā daam saḳht qarīb āshiyān ke
uḌne na paa.e the ki giraftār ham hue
hastī hamārī apnī fanā par dalīl hai
yaañ tak miTe ki aap ham apnī qasam hue
saḳhtī kashān-e-ishq kī pūchhe hai kyā ḳhabar
vo log rafta rafta sarāpā alam hue
terī vafā se kyā ho talāfī ki dahr meñ
tere sivā bhī ham pe bahut se sitam hue
likhte rahe junūñ kī hikāyāt-e-ḳhūñ-chakāñ
har-chand is meñ haath hamāre qalam hue
allāh re terī tundi-e-ḳhū jis ke biim se
ajzā-e-nāla dil meñ mire rizq-e-ham hue
ahl-e-havas kī fat.h hai tark-e-nabard-e-ishq
jo paañv uTh ga.e vahī un ke alam hue
naale adam meñ chand hamāre supurd the
jo vaañ na khiñch sake so vo yaañ aa ke dam hue
chhoḌī 'asad' na ham ne gadā.ī meñ dil-lagī
saa.il hue to āshiq-e-ahl-e-karam hue
be-e'tidāliyoñ se subuk sab meñ hum hue
jitne ziyāda ho gae utne hī kam hue
pinhāñ thā dam saḳht qarīb āshiyān ke
uḌne na pae the ki giraftār hum hue
hastī hamārī apnī fanā par dalīl hai
yañ tak miTe ki aap hum apnī qasam hue
saḳhtī kashān-e-ishq kī pūchhe hai kyā ḳhabar
wo log rafta rafta sarāpā alam hue
terī wafā se kyā ho talāfī ki dahr meñ
tere siwā bhī hum pe bahut se sitam hue
likhte rahe junūñ kī hikāyāt-e-ḳhūñ-chakāñ
har-chand is meñ hath hamāre qalam hue
allāh re terī tundi-e-ḳhū jis ke bim se
ajzā-e-nāla dil meñ mere rizq-e-ham hue
ahl-e-hawas kī fath hai tark-e-nabard-e-ishq
jo pañw uTh gae wahī un ke alam hue
nale adam meñ chand hamāre supurd the
jo wañ na khiñch sake so wo yañ aa ke dam hue
chhoḌī 'asad' na hum ne gadāī meñ dil-lagī
sail hue to āshiq-e-ahl-e-karam hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.