be-gana-e-irfan ko haqiqat ki KHabar kya
be-gāna-e-irfāñ ko haqīqat kī ḳhabar kyā
jo aap se vāqif na ho vo ahl-e-nazar kyā
manzūr-e-nazar kaun huā us kī ḳhabar kyā
vo fazl pe aa jaa.e to phir aib-o-hunar kyā
kis aañkh se dekhā hai ḳhudā jaane kisī ko
nā-vāqif-e-ādāb nazar terī nazar kyā
sūrat koī aisī ho ki yaad aa.e ḳhudā kī
allāh na yaad aa.e to vo husn-e-bashar kyā
vaa.iz mire dushman ko ho andesha-e-fardā
vo saath haiñ jab mere mujhe ḳhauf-o-ḳhatar kyā
ik tohmat-e-hastī se pareshāñ huuñ ab tak
be-par kī uḌī aur use lag ga.e par kyā
haq-āgahī vo haq-nagrī us kā natīja
ik shart muqaddam ke sivā fikr-o-nazar kyā
be-fikr basar hotī hai iqbāl salāmat
sarkār kā banda huuñ kisī baat kā Dar kiyā
'kāmil' ko dar-e-yār ke sajdoñ se na roko
qurbān jahāñ dil ho vahāñ qīmat-e-sar kyā
be-gana-e-irfan ko haqiqat ki KHabar kya
jo aap se waqif na ho wo ahl-e-nazar kya
manzur-e-nazar kaun hua us ki KHabar kya
wo fazl pe aa jae to phir aib-o-hunar kya
kis aankh se dekha hai KHuda jaane kisi ko
na-waqif-e-adab nazar teri nazar kya
surat koi aisi ho ki yaad aae KHuda ki
allah na yaad aae to wo husn-e-bashar kya
waiz mere dushman ko ho andesha-e-farda
wo sath hain jab mere mujhe KHauf-o-KHatar kya
ek tohmat-e-hasti se pareshan hun ab tak
be-par ki uDi aur use lag gae par kya
haq-agahi wo haq-nagri us ka natija
ek shart muqaddam ke siwa fikr-o-nazar kya
be-fikr basar hoti hai iqbaal salamat
sarkar ka banda hun kisi baat ka Dar kiya
'kaamil' ko dar-e-yar ke sajdon se na roko
qurban jahan dil ho wahan qimat-e-sar kya
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 199)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.