be-ganagi-e-dil ke afsane ko kya kahiye
be-gānagī-e-dil ke afsāne ko kyā kahiye
apnā na huā apnā begāne ko kyā kahiye
jab donoñ hī raushan haiñ ik terī tajallī se
phir ka.aba to ka.aba hai but-ḳhāne ko kyā kahiye
aate haiñ satāne ko jaate haiñ rulāne ko
us aane ko kyā kahiye us jaane ko kyā kahiye
vo roke mirā 'bedam' dāman se lipaT jaanā
aur un kā ye farmānā dīvāne ko kyā kahiye
be-ganagi-e-dil ke afsane ko kya kahiye
apna na hua apna begane ko kya kahiye
jab donon hi raushan hain ek teri tajalli se
phir kaba to kaba hai but-KHane ko kya kahiye
aate hain satane ko jate hain rulane ko
us aane ko kya kahiye us jaane ko kya kahiye
wo roke mera 'bedam' daman se lipaT jaana
aur un ka ye farmana diwane ko kya kahiye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 75)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.