be-KHud kiye dete hain andaz-e-hijabana
be-ḳhud kiye dete haiñ andāz-e-hijābāna
aa dil meñ tujhe rakh luuñ ai jalva-e-jānāna
itnā to karam karnā ai chashm-e-karīmāna
jab jaan laboñ par ho tum sāmne aa jaanā
kyuuñ aañkh milā.ī thī kyuuñ aag lagā.ī thī
ab ruḳh ko chhupā baiThe kar ke mujhe dīvāna
zāhid mere qismat meñ sajde haiñ usī dar ke
chhūTā hai na chhūTegā sañg-e-dar-e-jānāna
kyā lutf ho mahshar meñ maiñ shikve ka.e jā۔ūñ
vo hans ke kahe jaa.eñ dīvāna hai dīvāna
saaqī tere aate hī ye josh hai mastī kā
shīshe pe girā shīsha paimāne pe paimāna
ma.alūm nahīñ 'bedam' maiñ kaun huuñ aur kyā huuñ
yuuñ apnoñ meñ apnā huuñ begānoñ meñ begāna
be-KHud kiye dete hain andaz-e-hijabana
aa dil mein tujhe rakh lun ai jalwa-e-jaanana
itna to karam karna ai chashm-e-karimana
jab jaan labon par ho tum samne aa jaana
kyun aankh milai thi kyun aag lagai thi
ab ruKH ko chhupa baiThe kar ke mujhe diwana
zahid mere qismat mein sajde hain usi dar ke
chhuTa hai na chhuTega sang-e-dar-e-jaanana
kya lutf ho mahshar mein main shikwe kae ja۔un
wo hans ke kahe jaen diwana hai diwana
saqi tere aate hi ye josh hai masti ka
shishe pe gira shisha paimane pe paimana
malum nahin 'bedam' main kaun hun aur kya hun
yun apnon mein apna hun beganon mein begana
- Book : کلام بیدم (Pg. 43)
- Author : بیدم شاہ وارثی
- Publication : بہار اسلام پگلی کیشن لاہور
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.