ab aadmi kuchh aur hamari nazar mein hai
ab aadmī kuchh aur hamārī nazar meñ hai
jab se sunā ki yaar libās-e-bashar meñ hai
apnā hī jalva hai jo hamārī nazar meñ hai
ab ġhair kaun chashm-e-haqīqat-nigar meñ hai
vo ganj-e-husn hai dil-e-vīrāñ meñ jalva-gar
fazl-e-ḳhudā se daulat-e-kaunain ghar meñ hai
bas ik faroġh-e-naqsh-e-kaf-e-pā ke faiz se
har zarra āftāb terī rah-guzar meñ hai
allāh ḳhair mere dil-e-be-qarār kī
andāz yaas kā nigah-e-nāma-bar meñ hai
ḳhud-bībiyoñ kī aañkh milī chashm-e-shauq ko
merī nazar bhī aaj tumhārī nazar meñ hai
banñe se pahle sāġhar-e-mai TuuT jaate haiñ
kyā mohtasib kī ḳhaak kaf-e-kūza-gar meñ hai
ġhurbat meñ bhī ḳhayāl-e-vatan sāth-sāth hai
ye bhī na ho to kis kā sahārā safar meñ hai
ai nuuh apnī kashti-e-’ālam se hoshiyār
tūfān-e-girya aaj mirī chashm-e-tar meñ hai
hairān huuñ ki sajda karūñ to kidhar karūñ
kā'ba meñ bhī vahī but-e-kāfir nazar meñ hai
hañste haiñ mere girya-e-be-iḳhtiyār par
ye aap kī adā lab-e-zaḳhm-e-jigar meñ hai
'bedam' ye justujū bhī 'ajab hai 'ajab talāsh
nikle haiñ DhūñDne ko use ham jo ghar meñ hai
ab aadmi kuchh aur hamari nazar mein hai
jab se suna ki yar libas-e-bashar mein hai
apna hi jalwa hai jo hamari nazar mein hai
ab ghair kaun chashm-e-haqiqat-nigar mein hai
wo ganj-e-husn hai dil-e-viran mein jalwa-gar
fazl-e-KHuda se daulat-e-kaunain ghar mein hai
bas ek farogh-e-naqsh-e-kaf-e-pa ke faiz se
har zarra aaftab teri rah-guzar mein hai
allah KHair mere dil-e-be-qarar ki
andaz yas ka nigah-e-nama-bar mein hai
KHud-bibiyon ki aankh mili chashm-e-shauq ko
meri nazar bhi aaj tumhaari nazar mein hai
banne se pahle saghar-e-mai TuT jate hain
kya mohtasib ki KHak kaf-e-kuza-gar mein hai
ghurbat mein bhi KHayal-e-watan sath-sath hai
ye bhi na ho to kis ka sahaara safar mein hai
ai nuh apni kashti-e-’alam se hoshiyar
tufan-e-girya aaj meri chashm-e-tar mein hai
hairan hun ki sajda karun to kidhar karun
ka'ba mein bhi wahi but-e-kafir nazar mein hai
hanste hain mere girya-e-be-iKHtiyar par
ye aap ki ada lab-e-zaKHm-e-jigar mein hai
'bedam' ye justuju bhi 'ajab hai 'ajab talash
nikle hain DhunDne ko use hum jo ghar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.