mere hote hue koi sharik-e-imtihan kyun ho
mire hote hue koī sharīk-e-imtihāñ kyuuñ ho
tirā dard-e-mohabbat bhī nasīb-e-dushmanāñ kyuuñ ho
jo manzil tak pahuñchāyā hai to gard-e-kārvāñ kyuuñ ho
jo gard-e-kārvāñ bhī ho to gard-e-rā.igāñ kyuuñ ho
vahī bazm-e-tajallī hai vahī naġhmoñ kī be-tābī
abhī sunte haiñ ham ḳhāmosh sāz-e-kun-fakāñ kyuuñ ho
mirā hast-o-’adam jab paak hai hadd-e-ta'ayyun se
to phir tere liye qaid-e-makāñ-o-lā-makāñ kyuuñ ho
ḳhayāl-e-vasl-e-jānāñ tāle'-e-bedār dushman hai
mirī āñkhoñ tak aate aate vo ḳhvāb-e-girāñ kyuuñ ho
mirī āñkhoñ se parda hai jo dil meñ rahne vāloñ ko
taḳhayyul mo.jazan kyuuñ ho tasavvur zau-fishāñ kyuuñ ho
agar maiñ huuñ to phir tum kyā tumhārī justujū kaisī
nahīñ huuñ maiñ to mujh par mere hone kā gumāñ kyuuñ ho
vo shaidā husn-e-sūrat par fida-e-husn-e-mā’nī ham
fasāna qais kā 'bedam' hamārī dāstāñ kyuuñ ho
mere hote hue koi sharik-e-imtihan kyun ho
tera dard-e-mohabbat bhi nasib-e-dushmanan kyun ho
jo manzil tak pahunchaya hai to gard-e-karwan kyun ho
jo gard-e-karwan bhi ho to gard-e-raigan kyun ho
wahi bazm-e-tajalli hai wahi naghmon ki be-tabi
abhi sunte hain hum KHamosh saz-e-kun-fakan kyun ho
mera hast-o-’adam jab pak hai hadd-e-ta'ayyun se
to phir tere liye qaid-e-makan-o-la-makan kyun ho
KHayal-e-wasl-e-jaanan tale'-e-bedar dushman hai
meri aankhon tak aate aate wo KHwab-e-giran kyun ho
meri aankhon se parda hai jo dil mein rahne walon ko
taKHayyul mojazan kyun ho tasawwur zau-fishan kyun ho
agar main hun to phir tum kya tumhaari justuju kaisi
nahin hun main to mujh par mere hone ka guman kyun ho
wo shaida husn-e-surat par fida-e-husn-e-ma’ni hum
fasana qais ka 'bedam' hamari dastan kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.