chumi rikab uTh ke kisi shahsawar ki
chūmī rikāb uTh ke kisī shahsavār kī
himmat to dekhiye mire musht-e-ġhubār kī
har shai meñ dekhtā huuñ jhalak husn-e-yār kī
mushtāq ko tamīz nahīñ nūr-o-nār kī
ai iztirāb parda-e-rāz-e-nihāñ na khol
tujh ko qasam hai gosha-e-dāmān-e-yār kī
bijlī kī tarah mujh ko taḌapne se kaam hai
tasvīr huuñ maiñ apne dil-e-be-qarār kī
bād-e-sabā miTātī hai mere mazār ko
miTtī hai yādgār tire yādgār kī
achchhā huā ki hasrat-o-armān miT ga.e
ab chain se kaTegī dil-e-be-qarār kī
'bedam' jahāñ meñ sub.h-e-qayāmat hai jis kā naam
shāyad vahī sahar hai shab-e-intizār kī
chumi rikab uTh ke kisi shahsawar ki
himmat to dekhiye mere musht-e-ghubar ki
har shai mein dekhta hun jhalak husn-e-yar ki
mushtaq ko tamiz nahin nur-o-nar ki
ai iztirab parda-e-raaz-e-nihan na khol
tujh ko qasam hai gosha-e-daman-e-yar ki
bijli ki tarah mujh ko taDapne se kaam hai
taswir hun main apne dil-e-be-qarar ki
baad-e-saba miTati hai mere mazar ko
miTti hai yaadgar tere yaadgar ki
achchha hua ki hasrat-o-arman miT gae
ab chain se kaTegi dil-e-be-qarar ki
'bedam' jahan mein subh-e-qayamat hai jis ka nam
shayad wahi sahar hai shab-e-intizar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.