ada ki le rahi hai arsh ki pahlu-nashin ho kar
adā kī le rahī hai 'arsh kī pahlū-nashīñ ho kar
zamīñ rauza kī tere tere rauza kī zamīñ ho kar
rahā jo muddatoñ tāj-e-sar-e-'arsh-e-barīñ ho kar
vahī chamkā 'arab meñ nūr-e-rabbul-'ālamīñ ho kar
mohammad sar se pā tak maz.har-e-husn-e-ilāhī haiñ
ki aa.e dahr meñ tasvīr-e-sūrat āfrīñ ho kar
kareñ taz.īn mah-rūyān-e-'ālam ko zarūrat hai
tumheñ kyā chāhiye mahbūb-e-rabbul-'ālamīñ ho kar
mohammad sab se pahle ham gunahgāroñ ko pūchheñge
hameñ vo bhuul sakte haiñ shafī'-ul-muznabīñ ho kar
hamārā kuchh na honā laakh hone ke barābar hai
chale duniyā se ham shaidā-e-kHatamul-muraslīñ ho kar
hamāre sar pe 'bedam' zill-e-dāmān-e-mohammad hai
to kyā kar legā phir ḳhurshīd-e-mahshar ḳhashm-gīñ ho kar
ada ki le rahi hai 'arsh ki pahlu-nashin ho kar
zamin rauza ki tere tere rauza ki zamin ho kar
raha jo muddaton taj-e-sar-e-'arsh-e-barin ho kar
wahi chamka 'arab mein nur-e-rabbul-'alamin ho kar
mohammad sar se pa tak mazhar-e-husn-e-ilahi hain
ki aae dahr mein taswir-e-surat aafrin ho kar
karen tazin mah-ruyan-e-'alam ko zarurat hai
tumhein kya chahiye mahbub-e-rabbul-'alamin ho kar
mohammad sab se pahle hum gunahgaron ko puchhenge
hamein wo bhul sakte hain shafi'-ul-muznabin ho kar
hamara kuchh na hona lakh hone ke barabar hai
chale duniya se hum shaida-e-kHatamul-muraslin ho kar
hamare sar pe 'bedam' zill-e-daman-e-mohammad hai
to kya kar lega phir KHurshid-e-mahshar KHashm-gin ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.