main kisi surat mein hun gardish hai mere sath mein
main kisi surat mein hun gardish hai mere sath mein
Bedam Shah Warsi
MORE BYBedam Shah Warsi
maiñ kisī sūrat meñ huuñ gardish hai mere saath meñ
bazm-e-hastī meñ jo aayā daur-e-sāġhar ho gayā
sau bahāreñ us masarrat us tabassum ke nisār
aaj dāmān-e-sahar phūloñ kī chādar ho gayā
do ’adam meñ ek hastī vo bhī nazr-e-nīstī
merā honā bhī na hone ke barābar ho gayā
us ne rag rag ko sikhā diiñ 'ishq meñ be-chainiyāñ
qalb-e-muztar ik ’azāb-e-jān muztar ho gayā
barhamī kī koī had bhī ai mizāj-e-zulf-e-yār
kyā bigaḌ jaane meñ to merā muqaddar ho gayā
hote hote ho ga.ī barham vo 'bedam' bazm-e-nāz
dekhte hī dekhte sāmān-e-mahshar ho gyā
main kisi surat mein hun gardish hai mere sath mein
bazm-e-hasti mein jo aaya daur-e-saghar ho gaya
sau bahaaren us masarrat us tabassum ke nisar
aaj daman-e-sahar phulon ki chadar ho gaya
do ’adam mein ek hasti wo bhi nazr-e-nisti
mera hona bhi na hone ke barabar ho gaya
us ne rag rag ko sikha din 'ishq mein be-chainiyan
qalb-e-muztar ek ’azab-e-jaan muztar ho gaya
barhami ki koi had bhi ai mizaj-e-zulf-e-yar
kya bigaD jaane mein to mera muqaddar ho gaya
hote hote ho gai barham wo 'bedam' bazm-e-naz
dekhte hi dekhte saman-e-mahshar ho gya
- Book : Uthte Uthte wo Naqaab-e-Rukh Utha kar Chal Diye (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.