qismat khuli hai aaj hamare mazar ki
qismat khulī hai aaj hamāre mazār kī
chādar paḌī hai gosha-e-dāmān-e-yār kī
kaisā fishār kaisī aziyyat fishār kī
lazzat milī hai qabr meñ āġhosh-e-yār kī
vahshat ye kah rahī hai dil-e-be-qarār kī
phir ḳhaak chhānñī hai hameñ kū-e-yār kī
kūche meñ tere dosh-e-sabā par savār hai
kis auj par hai ḳhaak tire ḳhāksār kī
dil bhī gayā jigar bhī gayā jaan bhī chalī
achchhī ghaḌī hai ārzū-e-vasl-e-yār kī
dar par jagah na dāman-e-dildār par qarār
miTTī ḳharāb hai mirī musht-e-ġhubār kī
nairañgī-e-zamāna se dil sair ho gayā
ab ġham ḳhizāñ kā hai na ḳhushī hai bahār kī
’ibrat se sheb-o-shabāb pe mere nazar karo
tasvīr huuñ maiñ gardish-e-lail-o-nahār kī
laao maiñ shaam hī se na kuchh khā ke so rahūñ
dekhī hai sub.h kis ne shab-e-intizār kī
vo jīte-jī to bahr 'iyādat na aa sake
ab aa rahe haiñ ḳhaak uḌāne mazār kī
na-pā.idār hastī na-pā.idār hai
hastī hī kyā hai hastī-e-nā-pā.idār kī
'bedam' na apnā naḳhl-e-tamannā harā huā
aa.ī bhī aur guzar bhī ga.ī rut bahār kī
qismat khuli hai aaj hamare mazar ki
chadar paDi hai gosha-e-daman-e-yar ki
kaisa fishaar kaisi aziyyat fishaar ki
lazzat mili hai qabr mein aaghosh-e-yar ki
wahshat ye kah rahi hai dil-e-be-qarar ki
phir KHak chhanni hai hamein ku-e-yar ki
kuche mein tere dosh-e-saba par sawar hai
kis auj par hai KHak tere KHaksar ki
dil bhi gaya jigar bhi gaya jaan bhi chali
achchhi ghaDi hai aarzu-e-wasl-e-yar ki
dar par jagah na daman-e-dildar par qarar
miTTi KHarab hai meri musht-e-ghubar ki
nairangi-e-zamana se dil sair ho gaya
ab gham KHizan ka hai na KHushi hai bahaar ki
’ibrat se sheb-o-shabab pe mere nazar karo
taswir hun main gardish-e-lail-o-nahaar ki
lao main sham hi se na kuchh kha ke so rahun
dekhi hai subh kis ne shab-e-intizar ki
wo jite-ji to bahr 'iyaadat na aa sake
ab aa rahe hain KHak uDane mazar ki
na-paidar hasti na-paidar hai
hasti hi kya hai hasti-e-na-paidar ki
'bedam' na apna naKHl-e-tamanna hara hua
aai bhi aur guzar bhi gai rut bahaar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.