ham raunaq-e-hastī kā sāmān luTā baiThe
jānāñ terī āñkhoñ pe īmān luTā baiThe
aisā thā sitamgar kā andāz-e-kHarīdārī
ham 'ishq-o-mohabbat kī dūkān luTā baiThe
ik un ke ishāre pe ham 'ishq ke dīvāne
dil pahle luTā baiThe phir jaan luTā baiThe
har chiiz zamāne kī pahle to tasadduq kī
jab kuchh na rahā baaqī īmān luTā baiThe
ham Thokareñ khāte haiñ dar-dar kī mohabbat meñ
ab shaan kahāñ baaqī ham shaan luTā baiThe
hairān hai muztar hai afsurda pareshāñ hai
ham to dil-e-muztar kī har aan luTā baiThe
īmān baḌī shai hai afsos ki īmāñ ko
ham vo bhī kisī but par qurbān luTā baiThe
ye surma-bharī āñkheñ jo rahm se ḳhālī haiñ
'bahzād' hazīñ un par īmān luTā baiThe
hum raunaq-e-hasti ka saman luTa baiThe
jaanan teri aankhon pe iman luTa baiThe
aisa tha sitamgar ka andaz-e-kHaridari
hum 'ishq-o-mohabbat ki dukan luTa baiThe
ek un ke ishaare pe hum 'ishq ke diwane
dil pahle luTa baiThe phir jaan luTa baiThe
har chiz zamane ki pahle to tasadduq ki
jab kuchh na raha baqi iman luTa baiThe
hum Thokaren khate hain dar-dar ki mohabbat mein
ab shan kahan baqi hum shan luTa baiThe
hairan hai muztar hai afsurda pareshan hai
hum to dil-e-muztar ki har aan luTa baiThe
iman baDi shai hai afsos ki iman ko
hum wo bhi kisi but par qurban luTa baiThe
ye surma-bhari aankhen jo rahm se KHali hain
'bahzad' hazin un par iman luTa baiThe
Videos
This video is playing from YouTube
Haji Mehboob Ali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.