ajab andaz tujhko nargis-e-mastana aata hai
'ajab andāz tujh ko nargis-e-mastāna aatā hai
ki har hoshiyār banñe ko yahāñ dīvāna aatā hai
koī zāhid ho vā'iz ho be-tābāna aatā hai
samajh meñ jis kī raaz bāda-o-paimāna aatā hai
vahī masjid se uTh kar jānib-e-mai-ḳhāna aatā hai
haqīqat meñ nigāheñ dekh letī haiñ haqīqat ko
chhupā sakte nahīñ kasrat ke parde rañg-e-vahdat ko
zamāna kyā samajh saktā hai us ke kufr-e-ulfat ko
nazar but meñ bhī jis ko jalva-e-jānāna aatā hai
karī hai dair meñ vo sajda-rezī 'ain mastī meñ
mujhe kāfir lage kahne musalmānoñ kī bastī meñ
nazar aatī nahīñ kuchh apnī hastī apnī hastī meñ
kuchh aisā kho gayā huuñ dil ke hāthoñ but-parastī meñ
jidhar jaatā huuñ mere sāmne but-ḳhāna aatā hai
merī turbat pe aa kar ḳhud ye zāhid ne du'ā māñgī
ḳhudā baḳhshe bahut achchhī guzārī but-parastī meñ
'ajab andaz tujh ko nargis-e-mastana aata hai
ki har hoshiyar banne ko yahan diwana aata hai
koi zahid ho wa'iz ho be-tabana aata hai
samajh mein jis ki raaz baada-o-paimana aata hai
wahi masjid se uTh kar jaanib-e-mai-KHana aata hai
haqiqat mein nigahen dekh leti hain haqiqat ko
chhupa sakte nahin kasrat ke parde rang-e-wahdat ko
zamana kya samajh sakta hai us ke kufr-e-ulfat ko
nazar but mein bhi jis ko jalwa-e-jaanana aata hai
kari hai dair mein wo sajda-rezi 'ain masti mein
mujhe kafir lage kahne musalmanon ki basti mein
nazar aati nahin kuchh apni hasti apni hasti mein
kuchh aisa kho gaya hun dil ke hathon but-parasti mein
jidhar jata hun mere samne but-KHana aata hai
meri turbat pe aa kar KHud ye zahid ne du'a mangi
KHuda baKHshe bahut achchhi guzari but-parasti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.