bhala apne nalon ki mujhko KHabar kya shab-e-gham hui thi kahan tak rasai
bhala apne nalon ki mujhko KHabar kya shab-e-gham hui thi kahan tak rasai
Qamar Jalalvi
MORE BYQamar Jalalvi
bhalā apne nāloñ kī mujh ko ḳhabar kyā shab-e-ġham huī thī kahāñ tak rasā.ī
magar ye 'adū kī zabānī sunā hai baḌī mushkiloñ se tumheñ niiñd aa.ī
shab-e-va.ada avval to aate nahīñ the jo aa.e bhī to raat aisī gañvā.ī
kabhī raat ko tum ne gesū sañvāre kabhī raat ko tum ne mehñdī lagā.ī
gila be-vafā.ī kā kis se kareñ ham hamārā gila koī suntā nahīñ hai
ḳhudā tum ko rakhe javānī ke din haiñ tumhārā zamāna tumhārī ḳhudā.ī
har ek ne diye mere ashkoñ pe tā’ne tere zulm lekin kisī ne na pūchhe
merī baat par bol uThThā zamāna tirī baat duniyā zabāñ par na laa.ī
sar-e-shām aane kā vā'da kiyā thā magar raat ab to Dhalī jā rahī hai
na jaane kahāñ raah meñ ruk ga.e vo na jaane kahāñ itnī dair lagā.ī
yahī hotī hai shirkat-e-bazm-e-mātam tamāsha samajh kar khaḌe ho ga.e tum
na hālāt marne ke pūchhe kisī se na aañsū bahā.e na mayyat uThā.ī
bhala apne nalon ki mujh ko KHabar kya shab-e-gham hui thi kahan tak rasai
magar ye 'adu ki zabani suna hai baDi mushkilon se tumhein nind aai
shab-e-wada awwal to aate nahin the jo aae bhi to raat aisi ganwai
kabhi raat ko tum ne gesu sanware kabhi raat ko tum ne mehndi lagai
gila be-wafai ka kis se karen hum hamara gila koi sunta nahin hai
KHuda tum ko rakhe jawani ke din hain tumhaara zamana tumhaari KHudai
har ek ne diye mere ashkon pe ta’ne tere zulm lekin kisi ne na puchhe
meri baat par bol uThTha zamana teri baat duniya zaban par na lai
sar-e-sham aane ka wa'da kiya tha magar raat ab to Dhali ja rahi hai
na jaane kahan rah mein ruk gae wo na jaane kahan itni dair lagai
yahi hoti hai shirkat-e-bazm-e-matam tamasha samajh kar khaDe ho gae tum
na haalat marne ke puchhe kisi se na aansu bahae na mayyat uThai
- Book : Aoj-e-Qamar (Pg. 2)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.