bujhī huī sham.a kā dhuāñ huuñ aur apne markaz ko jā rahā huuñ
ki dil kī hastī to miT chukī hai ab apnī hastī miTā rahā huuñ
ye vaqt hai mujh pe bandagī kā kaho jise sajda kar luuñ varna
azal se tā 'ahd-e-āfrīnash maiñ aap apnā ḳhudā rahā huuñ
mohabbat insān kī hai fitrat kahāñ hai imkān-e-tark-e-ulfat
vo itnā hī yaad aa rahā hai maiñ jitnā us ko bhulā rahā huuñ
zamīñ pe sajde haiñ har qadam par zabāñ pe labbaik har-nafas meñ
chalā huuñ yuuñ but-kade ko 'nātiq' ki jaise ka'aba ko jā rahā huuñ
bujhi hui shama ka dhuan hun aur apne markaz ko ja raha hun
ki dil ki hasti to miT chuki hai ab apni hasti miTa raha hun
ye waqt hai mujh pe bandagi ka kaho jise sajda kar lun warna
azal se ta 'ahd-e-afrinash main aap apna KHuda raha hun
mohabbat insan ki hai fitrat kahan hai imkan-e-tark-e-ulfat
wo itna hi yaad aa raha hai main jitna us ko bhula raha hun
zamin pe sajde hain har qadam par zaban pe labbaik har-nafas mein
chala hun yun but-kade ko 'natiq' ki jaise ka'aba ko ja raha hun
Videos
This video is playing from YouTube
Nusrat Fateh Ali Khan
Source :
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 337)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.